Sunday, May 5, 2024
HomeTrending NewsCorona ka pata laganay jasoos kutton ka istimaal

Corona ka pata laganay jasoos kutton ka istimaal

Dubai: UAE mein Corona ke mutasireen ka pata laganay ke liye jasoos kuttay istemaal kiye ja rahay hain. Tafseelaat ke mutabiq Emarati wizarat dakhla ne kaha hai ke jasoos kuttoun ke istemaal se pehlay is ka tajurbah kiya gaya jo kamyaab raha.

Emarati wizarat dakhla ne kaha hai ke mukhtalif maqamat par mojood logoun ki baghal se namoonay le kar jasoos kuttay ke samnay rakh diya jata hai. Jis par foran hi pata chal jata hai ke jis shakhs ka namona kuttay ko songhaya gaya hai wo corona mein mubtala hai ya nahi.

Emirate mein kayi ahem aur sahet maqamat par jasoos kuttoun ke zariye corona mutasireen ka pata laganay ka tajurbah kiya gaya hai. Ab tak jitne bhi tajarbaat kiye gaye hain un sab ke nataij ke tanazur mein kaha ja sakta hai ke 91 feesad kamyaab rahay hain. Jasoos kuttoun ko field mein istemaal karne se qabal 2 haftay tak coronavirus ka pata laganay ki tarbiyat di gayi thi.