Hyderabad: Telangana reyasti Assembly ka Monsoon ijlaas muqarara waqt se qabal hi ekhtataam pazeer huwa jab dono aiwanon ne apne ijlaas corona mutasir honay walay arkaan parliament aur amlay ki khabar ke baad corona ke phelao ke khadshay ke paish-e-nazar multawi kardiye gaye.
Assembly ke Speaker Pocharam Srinivas Reddy aur council ke chairman Gutha Sukender Reddy ne mutaliqa aiwanon ko multawi karte hue kaha ke 7 September ko shuru honay wala ijlaas 28 September tak hona tha lekin Covid-19 ke mazeed phelao ke khadshay ki wajah se usay khatam karna pada hai.
Chunkay Monsoon Session mein arkaan Assembly, Police, Media aur deegar sameit 1200 afraad shirkat kar rahay hain lehaza is Virus ke phelao ke baare mein aam khadshaat paye jatay hain. Hum ney tamam ahteyati tadabeer ikhtiyar ki hain aur hukkaam ke bataye hue tamam usoolon ko apnatay hue ijlaas shuru kiya tha lekin ewaan ka wasee pemanay par yeh khadsha hai ke wabai bemari ke phelao ka imkaan mojood hai. Gutha Sukender Reddy ney Monsoon Session ko muqarara waqt se qabal khatam karne ki wazahat karte hue yeh baat bataaye.
Baad azan media se khitaab karte hue qanoon saazi umoor ke wazeer Vemula Prashanth Reddy nay kaha ke dono aiwanon nay tamam arkaan ki madad se apne chand ijlaas mukammal kiye. Unhoun nay kaha Opposition nay bhi behtar muzahira kiya aur saree karwai mein taawun kiya. Unhoun nay mazeed kaha ke 2 arakeen Assembly aur chand police aur muawin amlay ke corona nataij misbet anay ke baad ijlaas ko mukhtasir karne ka faisla ohdedaron ko karna pada.
Monsoon Session ke douran hue ijlaas ke zimn mein izhaar khayaal karte hue wazeer ny kaha ke hukoomat tareekhi Revenue Bill, aur BSI pass bill sameit 12 bill manzoor kiye hain aur sabiq sadar jamhooria Pranab Mukherji aur Dubbaka ke MLA Solipeta Ramalinga Reddy sameit 11 taziyati muharikaat manzoor kiye. Dono aiwanon ny 2 hukoomati qarardadin bhi manzoor kee jin mein se Ek sabiq Wazeer-e-Azam PV Narsimha Rao ko Bharat Ratan par zoor diya gaya tha aur dosra markaz se mutalba kiya gaya tha ke mutafiqa tor par bijli se mutaliq tarmeemi bill 2020 ko wapas liya jaye.