Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadCorona ka khauf. Hyderabad mein loog shakhsi gadiyoun ko tarjeeh dainay lagey

Corona ka khauf. Hyderabad mein loog shakhsi gadiyoun ko tarjeeh dainay lagey

Hyderabad: Telangana mein Corona ke khauf ke pesh e nazar loog shakhsi gadiyoun ko tarjeeh day rahay hain. Is waba ke mamlaat mein izafah ke pesh e nazar loogoun mein tashweesh payi jati hai. Kaafi zurori kaam honay par hi loog gharoun se nikal rahay hain. Aisay mein loog khud ki gadiyoun ko hi tarjeeh day rahay hain. Loog Autos aur Bikes se doori ikhtiyar kiye hue hain. Shehar Hyderabad mein jahan kabhi sadkoun par gadiyoun ka hujhoom dekha jata tha taham ab sadkoun par ziyada gadiyaan nazar nahi aa rahi hain. Tehwaroun, Chuttyoun, Khusoosi mawaqay par dosray ilaqoun se loog badi tadaad mein gadiyoun par reyasti dar-ul-hukoomat ka rukh karte they taham corona ke pesh e nazar sorat e haal mein tabdeeli aagai hai jis ke nateeja mein shehar mein Private Transport ruk gayi hai aur loog apni khud ki gadiyoun ko tarjeeh day rahay hain.

Aam dinoun mein Mahatma Gandhi Bus Station mein taqreeban 3500 Buseen aati theen taham AP sameit dekar bein reyasti Bus khidmaat hanoz shuru nahi hui hai jis ke pesh e nazar sirf 1 hazaar Buses hi is Bus station ko aa rahi hain jo Telangana ke mukhtalif azlaa tak chalaye jarahi hain. Sath hi Buses mein musafireen ki tadaad mein bhi qabil lehaaz kami hogayi hai. Har Bus ki tamam nashistain bhi pur nahi horahee hain. Kayi loog azlaa se Hyderabad mein khauf mehsoos kar rahay hain. Rail ki bhi yahi sorat e haal hai. Mojooda tour par Hyderabad se mukhtalif maqamat ke liye 25 trains chalaye jati hain. Ohdedaroun ney kaha nashistoun ke lehaaz se musafireen ki tadaad kaafi kam hai.

Shehar Hyderabad mein har roz kayi lakh musafireen ko khidmaat faraham karne wali MMTS trains bhi rokk di gayi hain jis ke pesh e nazar kayi afraad ney mutabadil intizamaa karliye hain. Mojooda tour par 18 khusoosi trains Secunderabad Railway Station se dosray maqamat ke liye chalaye jarahi hain. Aam dinoun mein 1 lakh 85 hazaar musafireen is station se safar karte hain taham sirf 25000 musafiren hi is station se mukhtalif maqamat ke liye safar kar rahay hain.