Tuesday, May 7, 2024
HomeTrending NewsCorona ka kachra sahiloun ke liye sangeen khatrah

Corona ka kachra sahiloun ke liye sangeen khatrah

Paris: France mein maholiyati tahaffuz se mutaliq ek muqami jamaat ne inkishaaf kiya hai ke coronavirus ke sabab peda honay wala kachra aur baqyat Riviera ke ilaqay mein inteyaab ke tafrehi maqam ke nazdeek bahera Room mein phela huwa hai. Mazkoorah jamaat is hawalay se aagahi peda karne aur ilaqay ki safai ki koshishen kar rahi hai. Is kachray mein Operation ke douran istemaal honay walay mask aur rabar ke dastanay shaamil hain. Ye bahera room ki lehroun ke neechay tairay huve nazar aa rahay hain. Guzashta haftay operation clean Sea nami group ne guzashta haftay ek video banai thi. Is video mein samandar ki satah par sharaab ki Battles aur deegar kachray ke sath Mask aur dastanay bhi phailay huve nazar aaye.

Is group ne tasaveer aur video ko Internet ke zariye phela diya. France aur deegar mumalik waba mai kami aur apne sahiloun ko dobarah se kholnay ka iradah kar rahay hain. Group ne khabardaar kiya hai ke ye kachra bahera room mein aloodgi ke masail ko badha sakta hai. Ek muqami rukan parliament ne tajweez pesh ki hai ke samandar mein Mask aur kachra phainknay waloun par bhaari jurmana ayed kiya jaye. Francesi group operation clean Sea ke ek baani ne News Agency ko bataya ke virus se mutaliq kachray ki miqdaar abhi mehdood hai lekin agar hum ne kuch na kiya to ye Riviera ke khoob soorat saahil par aloodgi phelanay ka baais banega. Dar-ul-hukoomat Paris mein safai karne walay karkunaan ne bhi Footpath par pade huve Mask ki tadaad mein izafay ki shikayat ki hai. Ye soorat e haal France ki janib se lockdown ke iqdamaat mein batadreej narmi karne aur mazeed awaami maqamat par shehrioun ke mask pahannay ki shart ayed kiye jaany ke baad samnay aayi hai. –YTN STAFF