Corona ka pehla mareez kab samnay aaya tha aur mutasir honay wala pehla shakhs kon tha is par ab tehqeeq jari hai. halaank corona ki shuruvaat 2019 ke awakhr mein hui thi taham yeh kehna bohat mushkil hai ke coronavirus se mutasir honay wala duniya ka pehla shakhs kon tha aur kahan se talluq rakhta tha .
Bain al aqwami Website ke mutabiq science danon ne scienci tareeqon ki madad se covid19 ke pehlay mareez ke doraniye ka takhmeenah lagaya hai. is takhminay ke mutabiq duniya mein covid ka pehla maamla china mein awail october se November 2019 ke wast mein samnay aaya hoga. dar haqeeqat un ka andaza hai ke duniya mein pehla fard mumkina tor par 17 November 2019 ko covid19 se mutasir hua hoga. yeh baat Bartania mein honay wali aik tibbi tehqeeq mein samnay aayi. cantt university ki tehqeeq ke nataij mein corona virus ki waba ke maakhuz ke hawalay se baat ki gayi.
Duniya mein corona virus ka pehla bazabta mareez decemeber 2019 ke shuru mein shanakht hua tha, taham aisay shawahid musalsal samnay arhay hain jin se maloom hota hai ke log is se pehlay bhi is bemari ka shikaar ho rahay thay.
ALSO READ: Hathon ko saaf rakhna corona se hifazat ka aasaan zareya : Dr Rohat
Waba ke aaghaz ke doraniye ko samnay laane ke liye mahireen nay riyasati tareeqa ko istemaal kiya jo is se pehlay mukhtalif hayatiati aqsam ke madoom honay ki muddat ka taayun karne ke liye istemaal hota tha. tahaqeeq ke liye tareeqa ko makoos kar ke jan-nay ki koshish ki gayi ke kab covid insanon mein phailna shuru hua aur is ke liye 203 mumalik ke ibtidayi mamlaat ka mawaad liya gaya.
Is tajrube se ishara mila ke covid ka pehla maamla 2019 mein october ke aaghaz se November ke wast mein china mein samnay aaya hoga. tehqeeq ke mutabiq mumkina tor par pehla maamla 17 November ko namodaar hua hoga aur yeh bemari January 2020 mein duniya bhar mein phail gayi. nataij se un shawahid ko taqwiyat millti hai ke yeh waba jald namodaar hue aur bazabta tor par tasleem kiye jane se qabal hi taizi se phail gayi. tehqeeq mein yeh bhi shanakht ki gayi ke kab covid 19 china se bahar awleen 5 mumalik mein pouncha aur deegar braazmon tak pouncha.
Misaal ke tor par un ka takhmeenah hai ke chain se bahar pehla mareez Japan mein 2 January 2020 ko samnay aaya hoga jabkay Europe mein pehla maamla 12 January 2020 ko spain mein aaya hoga. shumali America mein pehla mareez 16 January 2020 mein samnay aaya hoga. mohqiqeen ke mutabiq un ka yeh naya tareeqa car mustaqbil mein deegar wabai amraaz ke phelao ko behtar tareeqay se samajhney mein bhi madadgaar saabit hosakay ga. unhon nay kaha hai covid ke aaghaz ke baray mein maloomat se is ke musalsal phelao ko samajhney mein bhi madad mil sakay gi.