Saturday, May 4, 2024
HomeOthersTechnologyCorona ka assar, Smartphones ki farokht mein Record kami

Corona ka assar, Smartphones ki farokht mein Record kami

Hyderabad: Coronavirus ki waba ke nateejay mein rawan saal ki pehli sah mahi ke douran smartphone market ko apni tareekh ki sab se badi kami ka saamna huwa hai. Smartphone market Researcher IDC ke takhmine ke mutabiq January se March ke douran Smartphone ki farokht mein guzashta saal ke isi arsay ke muqablay mein 11.7 feesad kami aayi.

Ye kami mutawaqqa thi kyunkay pehlay China is waba ka markaz bana aur Wuhan mutadid shehroun mein Lockdown huwa jis ke baad ye Virus duniya bhar mein phail gaya aur ab mutadid mumalik band pade hain. Sirf China mein hi poori duniya mein farokht honay walay Phones ki 25 feesad tadaad sarbarahi hoti hai jo is sah mahi ke douran ghatt kar 20 feesad tak poanch gayi jabkay maghribi Europe mein Phones ki farokht mein 18.3 feesad aur America mein 16.1 feesad kami dekhnay mein aayi.

Majmoi tor par is sah mahi ke douran 27 crore 58 lakh Phones farokht huve aur 2014 ke baad pehli baar kisi sah mahi mein farokht honay walay Phones ki tadaad 30 Crore se kam rahi. Is saal tawaqqa ki jarahi thi ke Smartphone market mein taizi se aeye gi jis ki wajah 5G aur Foldable Phones mein tanawu qarar di jarahi thi lekin maali mushkilaat aur COVID-19 ke nateejay mein Smartphone companiyon ne Devices ki tayari mein kami kardi hai.

Mahireen ke mutabiq naye Phones ki talabb bohat ziyada kam hogayi hai aur lag bhag aadhi duniya mein Lockdown hai jis ke nateejay mein Devices ki farokht bohat kam hogayi hai, Is waqt mutadid sarifeen ke khayaal mein naye Phone ko khareedna ek ayashi hai jis ki abhi zaroorat nahi. Is sah mahi ke douran Samsung ne ek baar phir aalmi satah par sab se ziyada Smartphone farokht karne wali company ka aizaz apne naam karliya.

Is se qabal 2019 ki aakhri sah mahi ke douran Apple ne Phones ki farokht mein samsung ko shikast day di thi. October se Decemeber 2019 ke douran Apple ne 70.7 Million iPhones duniya bhar mein beje jabkay is arsay mein Samsung Smartphones ki tadaad 68.8 Million rahi. Is ke muqablay mein January se March ke douran Samsung ne 58.3 Million Phones farokht kiye aur 21.1 feesad Share ke sath apni hukmarani phir se qaim karli, Taham farokht mein 18 feesad se zayed kami bhi huvi. Is ke baad Huawei 17.8 feesad market Share ke sath teesray se chalang laga kar dosre number par aagai jabkay Apple 13 feesad market share ke sath pehlay se teesray number par chali gayi. –YTN STAFF