Riyadh: Saudi Arab ki jailoun mein qaidyoun ko taleem ki saholaten mojood hain aur wo taleem ke zewar se aaraasta bhi ho rahay hain. Qaidyoun ko muashray mein achay shehri ke tor par zindagi guzaarne ke qabil bananay ke liye mukhtalif hunar bhi sikhayiye jatay hain.
Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq mashriqi ilaaqoun ki jailoun ke qaidyoun ne rawan taleemi saal ke douran Imam Abdul Rahman Bin Faisal University mein dakhlay liye they. Inhen jailoun mein Online taleem ki saholaten faraham ki gayi then. qaidyoun ne taleemi saal ke ekhtataam par imthehaan dainay ki darkhwasten day den. Al-Sharqiya jailoun ki intizamia ne elaan kiya hai ke Dammam Jail, Al- Qatif jail aur Al- Khobar jail mein qaidi talba ke imtehaan Online liya jaye ga. Rawan saal Coronavirus se bachao ke liye ahteyati tadbeer ke tor par ye intizam kiya ja raha hai.
Mehakma Jail khanah jaat ne itminan dilaya hai ke qaidyoun ko imthehaan dainay ke liye munasib mahol muhayya kar diya gaya hai. Imthehaan haloun mein tamam zurori intizamaa kar diye gaye. Kisi bhi qaidi ko imthehaan dete waqt kisi terhan ki koi pareshani nahi hogi. Mehakma jail khanah jaat mumlikat ke mukhtalif soboun mein taleemi idaroun aur Universition ke taawun se qaidyoun ko Schools aur Colleges ka Course padhanay ka intizam kiye huve hai. Is kaam par mukhtalif mazameen ke maahir asateza muqarrar hain.
Mashriqi ilaqay mein jail khanah ke Director Brigadier Abdullah Al-Nafjan ne kaha ke tamam tayyariyan tasalii bakhash hain. Qaidyoun ko imthehaan Hall mein jaaney se qabal tamam hifazati saholaten muhayya ki jayen gi. Hifazati Mask aur dastanay taqseem kiye jayenge aur Sanitizing ka bhi ihtimaam kiya jayega. –YTN STAFF