Sunday, May 19, 2024
HomeSliderCorona ka asar, Thomas Uber Cup multawi, Denmark Masters mansookh

Corona ka asar, Thomas Uber Cup multawi, Denmark Masters mansookh

New Delhi: World Badminton Federation ( BWF ) nay corona ki waba ki wajah se 3 taa 11 October taq Denmark mein honay walay team muqaabla Thomas Uber Cup ko multawi kardiya hai, Jabkay 20 se 25 October munaqqid honay walay Denmark Masters ko mansookh kar diya gaya hai. World Badminton Federation ( BWF ) nay corona ke sabab Top teams ke naam wapas lainay ki wajah se mangal ke roz Denmark mein Thomas aur Uber Cup Tournament aindah saal ke liye multawi kardiya.

Hindustaan nay 3 se 11 October taq Denmark ke shehar Aarhus mein honay walay Tournament ke liye khawateen aur mardon ki dono teamon ka elaan kardiya tha. Taham Corona ki waba ki wajah se Thailand, Australia, Chinese Taipei  aur Algeria ke baad Indonesia aur janoobi Korea jummay ke roz peechay hatt gaye jis ki wajah se BWF nay ek hungami Virtual ijlaas talabb kiya.

Federation ney ek bayan mein kaha ke Badminton World Federation maizban Badminton Denmark ki razamandi se Thomas aur Uber Cup 2020 ko multawi karne ka ek mushkil faisla le rahi hai. Is mein mazeed kaha gaya hai ke yeh faisla mutadid teams ke naam wapas lainay ke sabab liya gaya hai. Nazar sani shuda BWF World Tour ke Europe league ki wajah se ab 2021 se pehlay mutabadil programme banana mushkil ho gaya hai. BWF ney Singapore aur Hang Kong ko shaamil karne ki koshish ki lekin unhoun ney inkaar kardiya. It-tila-aat yeh bhi hain ke China aur Japan bhi naam wapas lainay ke baaray sooj rahe hai.

Hindostan ki Star Player Saina Nehwal ney bhi aisay waqt mein Tournament ke ineqad par tashweesh ka izhaar kiya tha. Saina aur PV Sindhu khawateen team ki qayadat kar rahi theen jabkay mardon ki team mein sabiq aalmi number ek Srikanth Kidambi shaamil hain.

BWF ney yeh bhi kaha ke Denmark open pehlay se tay shuda schedule ke mutabiq audience mein 13 se 18 October tak jari rahay ga lekin 20 se 25 October tak munaqqid honay walay VICTOR Denmark Masters ko mansookh kardiya gaya hai. Nazarsani calendar mein BWF ne November mein HSBC World Tour Final ke ilawa Asia mein 2 super 1000 Tournament bhi munaqqid karne ka faisla kiya hai.

It-tila-aat ke mutabiq BWF tenu Tournament Indonesia mein karwana chahta hai lekin Indonesia ne corona ki waba ki wajah se apna khayaal badal liya. Thomas aur Uber Cup ke tavassut se March ke baad International Badminton ko dobarah shuru karna tha lekin BWF ne aitraaf kiya ke mojooda halaat mein aala satah ka Tournament munaqqid karna mumkin nahi tha aur isi wajah se Tournament multawi karne ka faisla kiya hai.