Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderCorona ilaaj Private Hospital lakhon rupiye kharch: Harish Rao

Corona ilaaj Private Hospital lakhon rupiye kharch: Harish Rao

Hyderabad: Telangana ke wazeer Finance Harish Rao ney mashwara diya hai ke loog corona ke ilaaj ke liye private hospital ja kar lakhoon rupiye kharch nah karen balkay jism mein qouvat mudafat mein izafah wali khiza ka istemaal karen. Unhoun ney Siddipet zila mein Haray Rama Haray Krishna idaara ki janib se shuru kardah Kaadha ke markaz ka iftitah kiya. Is mauqa par media se baat karte hue unhoun ney kaha kay zurori hoto hi loog gharon se baher nikleen. Wazeer Mosoof ney is virus ki alamaat par fori sarkari hospital mein ilaaj karne par zoor diya.

Unhoun ney samaji faasla ki barqarari aur kaafi zurori honay par hi ghar se nikalny par tamam terhan ke ahteyati iqdamaat karne par zoor diya. Unhoun ney kaha kay awam ke liye muft, Kaadha ka markaz khoola gaya hai. Aisay 4 marakaz khole jayen ge. Un mein se pehla markas aaj khola gaya hai. Har ghar mein apne jism mein qowat mudafat ke liye is terhan ka Kaadha banana zurori hai. Ye puranay daur ki yaddilata hai jo mo-asar kaam karta hai. Har kisi ko ghar mein subah is terhan ka Kaadha istemaal karna chahiye.