Friday, May 17, 2024
HomeJurmCorona dawakhana mein aag, intizamia ke 3 senior ohdedar giraftar

Corona dawakhana mein aag, intizamia ke 3 senior ohdedar giraftar

Ahmedabad: Police ne ek company ke 3 aala ohdedaron ko giraftar kiya hai jo ke Gujarat ke Rajkot zila mein khangi covid19 dawakhana chalanay wali ek zimmedaar company hai. Guzashta haftay atishzadgi se 5 mareezon ko halaak hue thay. Yeh baat police ke ek ohdedar ne kahi. yaad rahay ke jummay ke roz subah 12:30 bajey ke lag bhag ek hospital ke ICU ward mein achanak aag bhadak uthi jisse corona ke 5 mareez halaak hogaye, jabkay 28 afraad ko bacha liya gaya. is waqea ke baad police ne hindustani tazirati zabita section 304-a ( ghaflat ki wajah se mout ) ke tehat dawakhana chalanay wali google health care private ltd ke 5 ohdedaron ke khilaaf FIR darj ki.

Rajkot ke malviya nagar police station ke ek ohdedar ne kaha hai ke police ne company ke chairman, dr prakash, unke betay aur executive director dr vishal modha, aur director dr tejas karamta ko raat ittila masool honay ke baad girftar kya. unhon ne kaha un par do deegar afraad ke sath IPC section ke tehat ghaflat baratnay se mout ka sabab ban’nay par muqadma darj kiya gaya hai. Deputy commissionaire police ne media ko bataya ke is waqea ki tehqiqaat mein dawakhana hukkaam ki janib se Adam tawajhi ka inkishaaf hua hai aur isi wajah se unke khilaaf IPC section 304-a ke tehat FIR darj ki gayi hai. Unhon ne bataya ke covid19 hospital 15 September ko ijazat milnay ke baad kaam karna shuru kar diya. Shiv anand mission trust ke zair e intizam chalaye jane walay dawakhana mein kiraya par teen manzlon par tibbi khidmaat shuru ki gayi thi.

Unhon ne kaha ke waqeye ki tehqiqaat ke douran kayi usoolon par mobayyana tor par la parwahi hui hai aur dawakhana ke intizamia ki ghaflat samnay aayi. unhon ne kaha tha ke dawakhana mein aag se bachney walay protocol par amal nahi kya gaya aur hifazati iqdamaat ki kami thi jis ki wajah se rescue operation mein dushwaryon ka saamna karna pada aur iske nateejay mein paanch mareez halaak hogaye.