Saturday, November 2, 2024
HomeExclusiveCorona bohraan se nojawan tabqa sab se ziyada zehni dabao ka shikaar

Corona bohraan se nojawan tabqa sab se ziyada zehni dabao ka shikaar

Hyderabad: Corona ki wajah se saari duniya ko muashi Iqtisadi aur riyasati bohraan ka saamna hai jab ke crordon nojawan afraad ki rozi rootti chean gayi hai aur loog zehni tanao aur nafsiati amraaz ka shikaar hogaye hain. Corona bohraan ke douran yeh gumaan kiya ja raha tha ke is wba se nojawan tabqa mehfooz hai aur bazahir jismani tor par corona se mehfooz rehne wala nojawan tabqa zehni dabao aur nafsiati amraaz ka sab se ziyada shikaar hai.Coronavirus ki wajah se jahan duniya ibtidayi marhalay mein bemari se pareshan hai to dosray marhalay mein muashi bohraan se mazeed masail samnay anay ki khadshaat zahir kiye jarahay they lekin lagtahe is ke chand ek nuqoosh manzar aam par arhay hain kyunkay ab muashi bohraan

Nai tahaqeeq mein yeh inkishaaf huwa hai ke 25 saal se kam omar ke nojawan is zehni marz mein ziyada mubtala hai. Bartania ki ek tehqeeqi company UGo neh jo adaad-o-shumar zahir kiye hain is se saaf zahir hota hai ke nojawan tabqa apne mustaqbil ki wajah se nafsiati dabao ka shikaar hai kyunkay kayi nojawanon ki mulazimaten khatam hogayi aur kayi nojawanon ka career shuru honay wala tha lekin corona ke bohraan neh is par ghair yakeeni ke siyah baadal aur ghany kardiye hain.

Tehaqeeq mein kayi ek pehluo ko zahir kiya hai aur kaha gaya hai ke beshtar nojawan yomiya maloomat ki takmeel mein dushwari mehsoos kar rahay hain aur inhen zindagi se maza nahi araha hai jaissa ke woh do saal qabal un ki zindagi khushgawar thi. Tehaqeeq ke douran hazaron nojawanon se tabadlah khayaal kiya gaya tha jis mein nisf tadaad se zayada afrad ney kaha hai ke inhen yomiya umoor ki takmeel par tavajja markooz karte waqt dushwari ka saamna karna padh raha hai.

Corona bohraan aur nojawanon ki zindagi ke mutaliq kiye jaaney walay survey mein hissa lainay walay nojawanon ki ek tahai tadaad aisi hai jis ki mulazimaten corona ki wajah se khatam hogayi hain.