Friday, April 26, 2024
HomeIndiaCorona aur Tablighi jamaat khabron ko firqa warana rang dene par supreme...

Corona aur Tablighi jamaat khabron ko firqa warana rang dene par supreme court ki tashweesh

New delhi: Supreme court ne regulatory mechanism ke fuqdan mein website aur Youtube channels ke zariye farzi khabron ki ishaet aur nashriyat par shadeed tashweesh ka izhar karte huwe aeteraaf kiya ke tablighi jamaat mamle mein media ke ek tabqe ne khabron ko firqa warana rang diya tha jis se mulk ki saakh mutasir hoti hain. Chief justice NV Raman ki sadarat mein ek division bench ne kaha ke bagair kisi jawab dahi ke web portal par mawad paish kiya jaraha hain. Woh apni marzi se kuch bhi nashar kar rahe hai. Is mulk mein har cheez ko firqa warana zawiye se dikhaya jaata hain.

Bench nizam uddin markaz ke tablighi jamaat waqia ke dauran farzi aur bad niyati par mabni khabron ke khilaf ulama e hind aur press party ki arzi par simaet kar rahi thi. Bench ne kaha ke yeh web portal idaron ke khilaf bohut bura likhte hain Aam Aadmi ki baat toh chod diye jaye judge ku bhi yeh nahi baqashte justice Raman ne kaha ke aise naam nihaad media idaare VIP ki awaaz sunte hain. Adalat ne markazi hukoomat se poocha ke Kya is se nipatne ka koe tareeqe kaar hain? Chief justice ne kaha ke markazi hukoomat ke paas print aur electronic media ke liye ek nizam hain lekin web portal ke liye kuch nahi hain aur hukoomat ko is ka hal talash karna hoga.

Hukoomat ki jaanib se salester genral Tushar Mehta paish huwe jinho ne kaha ke hukoomat ke paas media ke taqreeban hisson par pabandi lagane ke liye khanoon maujood hain.. gujishta samaet ke dauran adalat ne ishteaal angez TV programon par rok na lagane ke talluq se markaz ki jam kar sarzansh ki thi…yaad rahe ke corona ke ibtedai daur mein is virus ke phailne mein tablighi jamaat aur uske karkuno ko nishana banaya gaya tha aur media ne musalmano ko nishana banane mein koe kasar nahi chodi thi