New delhi: Azad Hindustan ki siyasat mein congress ko sab se badi aur qadeem jamaat honay ka aizaz haasil hai lekin is qadeem jamaat par bhi kayi aisay zamane guzray hain jahan usay mushkil tareen halaat se guzarna padha hai lekin kayi martaba is ne kamyaab wapsi ki hai aur intikhabat 2019 may mein bhi Secular awam umeed kar rahay hain ke congress apni tareekh dohraey gi .
Nisf-sadi se ziyada waqt tak duniya se sab se bade jamhoori mulk Hindustan par hukoomat karne wali congress ko 70 ki diye se kayi martaba buray halaat se guzarna pada aur aisi soorat mein jab shumal aur mashriq ke ilaqay mein iske qadam akhad gaye tab junoobi aur shumal mashriq is sath khadhay nazar aeye. mulk ki intikhabi tareekh par nazar daali jaye to congress ko 70 ke diye se le kar ab tak kam az kam 6 martaba awam ki narazgi ka saamna karna pada. aisay waqt mein jab is ka Uttar pradesh, Bihar aur West bengal jaisi shumali, wasti aur mashriqi reyaston mein safaya ho gaya tab bhi junoob ke kayi reyaston neh mazbooti se is ka haath thaamay rakha. junoobi reyaston ke alawa Maharashtra aur Assam bhi congress ke buray waqt mein is ke sath khaday dikhayi diye. kayi baar Hindustan mein congress ke khilaaf mahol ban’nay ka Andhra pradesh, Karnataka, kerala, Maharashtra aur Assam mein asr tak nazar nahi aaya .
Azaadi ke baad se markaz mein musalsal hukoomat chala rahi congress ko pehli martaba 1977 mein Iqtidaar mukhalif lehar ka saamna karna pada. is waqt ki Wazeer e Azam Indra Gandhi ki janib se 1975 mein mulk mein emergency nafiz kiye jaane ke khilaaf narazgi ka asr 1977 ke intikhabaat mein nazar aaya. congress ke khilaaf awaami lehar se is ke qadam akhad gaye aur woh Iqtidaar se bahar ho gayi. mulk geer satah par narazgi ke bawajood congress neh un intikhabaat mein 154 Seats haasil ki theen. shumali aur wasti Hindustan mein is ka taqreeban safaya ho gaya tha. is waqt junoobi aur maghribi reyaston neh is ka sath diya tha. usay Andhra pradesh mein 41, Karnatak mein 26, Gujrat aur Assam mein fi kas 10, kerala mein 11, Maharashtra mein 20 aur Tamilnadu mein 14 Seats mili theen .
Congress ko 1977 ke baad 1989, 1996, 1998, 1999 aur 2014 mein Iqtidaar mukhalif lehar ki wajah se ab-tar soorat e haal ka saamna karna pada. saal 1989 mein bad unwani bil khushoos Boforce Scam ka maamla uchhal kar laday gaye intikhabaat mein Iqtidaar mukhalif lehar ki wajah se Rajiv Gandhi hukoomat chali gayi thi aur Janta dal leader Vishwanath Pratap Singh hukoomat bananay mein kamyaab hoye they. un intikhabaat mein utar pradesh, Bihar , Oddisa aur maghribi bangal jaisi reyaston mein qadam ukharney ke bawajood congress ko 197 seats mili theen. junoobi aur shumal mashriqi reyaston ke alawa Maharashtra is ke sath datt kar khada raha tha. is election mein congress ko jahan Uttar pardesh mein 15, Bihar mein chaar, Gujrat mein teen, Haryana mein chaar, Madhya pradesh mein aath, Odissa mein teen, Punjab mein 2 aur Maghribi bangal mein chaar seats mili thi wahein usay Andhra Pradesh mein 39, karnataka mein 27, kerala mein 14 aur Maharashtra mein 28 seats haasil hui theen. shumal mashriqi ilaqay ki ziyada tar seats congress ko mili theen .
Saal 1996 mein Iqtidaar mukhalif lehar ki wajah se congress ki PV Narsimha rao hukoomat paanch saal ki apni muddat poori kar ke dobarah Iqtidaar mein na aa saki aur BJP ke leader Atal Bahari Vajpayee ki qayadat mein hukoomat tashkeel di gayi jo mehez 16 din hi chal saki thi. baad mein United Front ki hukoomat qaim hui jis mein mister HD Devargodha aur MR Indar kumar Wazeer e Azam banay. Devargodha 324 din aur MR indar kumar 332 dinon tak Iqtidaar mein rahay. is election mein congress ko 140 seats mili thi. Uttar pradesh, Bihar, Haryana aur Punjab mein is zabardast dhaka laga tha. Uttar pardesh mein usay paanch, Bihar mein do, Haryana aur Punjab mein do, do aur Madhya pradesh mein 8 seats mili theen. mukhalfat ke bawajood Congress party ko Andhra Pradesh mein 22, Assam mein paanch, gujrat mein das, Karnatak mein paanch, kerala mein saat, Maharashtra mein 15, Odissa mein 16 Rajasthan mein 12 aur Maghribi Bangal mein 9 seats mili theen .
Saal 1998 ke aam intikhabaat mein bhi congress ki mukhalfat jari rahi aur is intikhab mein woh 141 seats par simat kar reh gayi thi aur BJP leader Atal bihari vajpayee qaumi jamhoori ittehaad ( NDA ) ki hukoomat bananay mein kamyaab hue they un intikhabaat mein Uttar pradesh aur Delhi mein congress ka safaya hogaya tha aur Bihar , Gujrat, Haryana aur Maghribi Bangal mein woh intahi kamzor hoyi thi. Bihar mein usay 5 , gujrat mein 7 , Haryana mein 3 aur maghribi bangal mein aik nashist mili thi .
congress ko is election mein Andhra Pradesh mein 22, Assam mein 10 , Karnataka mein 9 , Kerala mein 8 , Maharashtra mein 33, Rajsthan mein 18, Madhya pradesh mein 10 aur Odissa mein 5 seats mili theen .
Congress ki mukhalfat ka silsila 1999 ke intikhabaat mein bhi nazar aaya aur Atal Bihari Vajpayee ki qayadat mein qaumi jamhoori ittehaad ki dobarah hukoomat bani. is election mein bhi congress koi karishma nahi dikha saki aur 114 seats jeet kar parliment mein ab tak ki sab se kam seats par pohanch gayi thi. is intikhab mein usay Karnataka mein 18, Maharashtra mein 10 , Kerala mein 8 , Assam mein 10 , Madhya pradesh mein 11, Punjab mein 8 , Rajsthan mein 9, aur Gujrat mein 6 seats haath lagi theen. Congress ko Uttar pradesh mein 10 , Bihar mein 4 , maghribi bangal mein 3, Odissa aur Tamilnadu mein fi kas 2 seats mili theen .
Manmohan Singh ki das sala hukoomat ke douran bad unwani ko ke silsilay mein 2014 mein paeda hui Iqtidaar mukhalif lehar neh parlimani tareekh mein congress ko ab tak ki sab se buri haalat 44 seats par pouncha diya tha. is election mein Gujrat, Himachal pradesh, jammu and Kashmir , jharkhnd, Dehli , Odissa, Rajsthan aur Tamilnadu mein congress ka khatah bhi nahi khol saki thi. usay Karnataka mein 9, Kerala mein 8, maghribi bangal mein 4 , Punjab mein 3 , Madhya pradesh, Maharashtra, Manipur mein 2 , 2 aur Haryana , Chatisgarh, Meghalaya aur Mizoram mein fi kis 1 seat mili thi. Andhra Pradesh mein 2 , Arunachal Pradesh mein ek , Assam mein 2 , Bihar mein 2 , aur Uttar Pradesh mein 2 seats mili theen. -YTN STAFF