Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaCongress Sadar Rahul Gandhi ney kiya bada intekhabi wada

Congress Sadar Rahul Gandhi ney kiya bada intekhabi wada

New Delhi: Lok Sabha intekhabaat 2019 se qabal Congress Sadar Rahul Gandhi ney bada intekhabi wada kiya hai. Intikhabi jung mein baazi apne naam karne ke liye Rahul Gandhi ney duniya ki sab se badi The Minimum Income Guarantee Scheme ka wada kiya aur kaha ke agar unkee party iqtedaar mein aati hai to ghareeb khandano ko salana 72 hazaar rupiye milein ge.

Rahul Gandhi ney Lok Sabha intekhabaat ke mad e nazar is scheme ka wada kiya hai. Jis ke tehat Congress agar Iqtidaar mein aati hai to har kisi kohar mah 12 hazaar rupiye yani salaana 72 hazaar rupiye congress degi.

Rahul Gandhi ney kaha ke 5 saal tak Modi Hukumat mein ghareeb dukhi rahay, ab hum un ko insaaf dilayen ge. Aur gareebi mita den ge. Hamara maanna hai ke agar aap kaam kar rahay hon to aapko mahana kam se kam 12 hazaar rupiye milnay chahiye. Rahul Gandhi ney kaha ke mein do qheesam ka hindustan nahi baan’ney dunga. Yeh Mulk ameeron aur ghareebon dono ka hai.