Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaCongress Ram Mandir ki taamer ke haq mein

Congress Ram Mandir ki taamer ke haq mein

New Dehli:  Congress ney Ayodhya mein Ram janam bhoomi tanaza se mutaliq Supreme court ke faislay ka khair maqdam karte hue kaha hai ke party Ram Mandir ki taamer ke haq mein hai aur adalat nay jo faisla diya hai sabhi firqay ke logoun ko mulk ki secular etqedaar ka ehteram karte hue usay qubool karna chahiye.

Ayodhya mein Mandir ki taamer se mutaliq supreme court ke cheif justice Ranjan Gogoi¸ ki sadarat wali 5 rukni aaeni bench ke faislay ke baad congress media sale ke sarbarah Randeep Singh surjewala ne yahan party headquarters mein press conference mein kaha ke party adalat ke faislay ka ehteram karti hai aur woh sabhi tabqa ke logoun se humahangi, secularism aur bhai chaaray ki hindustani rivayet barqarar rakhnay ki appeal karti hai.

Unhon ne kaha ke haftay ki subah congress sadar Sonia Gandhi ki sadarat mein party ki Aala faisla saaz unit ki working committee ka ijlaas hua jis mein faisla kiya gaya ke adalat ne hamari aastha aur etemad barqarar rakha hai. Congress Ram Mandir ke haq mein hai. party ne pehlay bhi kaha tha ke jo faisla adalat ka hoga, is ka ehteram kiya jayega.
Surjewala ne kaha ke inhen is baat ki khushi hai ke is faislay se ram mandir ki taamer ke darwazay to khul gaye hain lekin BJP ke Ram ke naam par siyasat karne ke sabhi darwazay bhi band hogaye hain. logon aur community ko faislay ka ehteram karna chahiye. Ye faisla kisi shakhs ya firqay ke haq mein nahi hai. is zameen ko 1993 mein congressiyoun ki hukoomat ne haasil kiya tha.
Unhon ne kaha ke Ram, aastha ki alamat hai, Iqtidaar ka lalach nahi. ram qurbani hai, ram hamdardi hai, ram mohabbat hai, ram sabhi mazahab ke liye qabil-e-ehtram hain, ram bhai charah hai. ram ka naam samaaj ko taqseem karne ke liye nahi hosakta, jo aisa karta hai woh ram ki eqtedaar ko nahi samjhta hai.
Tarjuman ne kaha ke kuch log aur siyasi jamaten waqtan foqatan bhagwan ram ka naam ka istemaal siyasi faiday ke liye karti aayi hain lekin aaj ke faislay se ye tey ho gaya hai ke Ram ke naam ka istemaal jo log Iqtidaar ke karna chahtay they un ke darwazay is faislay ne hamesha ke liye band kar diye hain. unhon ne kaha ke adalat ne aastha aur aqeedat ka ehteram kiya hai. Congress bhagwan Ram ke mandir ki taamer ke haq mein hai aur working committee mein is silsilay mein qarardad Manzoor ki gayi hai. –YTN STAFF