New Delhi : Lok Sabha intikhabaat ke liye congress party ne apna intikhabi manshoor jari kardiya hai. mazkoorah manshoor congress sadar Rahul gandhi, UPA ki Sonia gandhi, sabiq wazeer-e-azam Manmohan Singh aur party ke deegar leadroun ki moujoodgi mein jaree kiya gaya .
Congress sadar Rahul gandhi ne manshoor jari karte hue kisanon, ghareebon, aur be rozgaron ke liye khaas waday kiye hain. is ke alawa unhoun ne taleem, sahet aur qaumi tahaffuz ke muddon par bhi baat ki .
Rahul gandhi ne kaha ke har saal ghareebon ko 72 hazaar rupiye diye jayen ge. is ke sath hi berozgari par congress sadar Rahul gandhi ne kaha ke aaj mulk ke nojawanon ke paas rozgaar nahi hai, aisay mein hum ne taye kiya hai ke sarkari nokryon ke khaali padde 22 laakh ohdoun ko March 2020 tak bharti karenge. aur 10 laakh noujawanon ko gram panchayat ke zareya nokari di ja sakti hai .
Wahein kisanon ke baarey mein unhon ne bataya ke kisanon ke liye alag budget faraham kiya jaye ga. is ke alawa agar kisaan bank ka qarz nahi chuka pa rahay hain to is ke khilaaf fouj daari ( criminal offence ) nahi balkay, dewaani muqadma ( civil offence ) darj hoga .-YTN STAFF