Sunday, April 20, 2025
HomeIndiacongress ne Rajghat par CAA ke khilaaf Satyagra ka aaghaz kiya

congress ne Rajghat par CAA ke khilaaf Satyagra ka aaghaz kiya

New Delhi: Congress ki aboori sadar Sonia Gandhi, sabiq wazeer aazam Manmohan Singh aur party ke sabiq sadar Rahul Gandhi sameit congress ki aala qayadat ne peer ko Mahatma Gandhi ki Araam gaah Rajghat mein party ke senkdoun hamiyoun ke sath shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke khilaaf Satyagrah kiya.

Is Satyagrah mein Priyanka Gandhi Vadra bhi, Party ke senior rehnumao, Ghulam Nabi Azad, Ahmed Patel, Mallikarjun Kharge, A. K. Antony, Anand Sharma ke sath mojood then. Madhya Pradesh  ke wazeer aala Kamal Nath, Rajasthan  ke wazeer aala Ashok Gehlot ke ilawa general secretary  Mukul Wasnik, K.C. Venugopal bhi CAA ke khilaaf ehtijaj mein shaamil hue.

Sonia Gandhi, Manmohan Singh aur Rahul Gandhi ne talba aur nojawanoun ke sath yakjahti ke liye Satyagrah tehreek shuru karne ke liye aeen ki pesh kash ko padha, Jo 13 decemeber ko manzoor honay ke baad se mulk bhar mein is naye qanoon ki mukhalifat kar rahay hain. Congress shaam 8 bajey tak Babaye Qoum ki arram gaah par bhaithne ka iradah rakhti hai.

Mahatma Gandhi ne bhi Bartania hukmraanoun ki aamranah sharait ke khilaaf ladne ke liye ehtijaj ka aaghaz kiya tha. Congress ab Baba Sahib Bhimrao Ambedkar ke aeen ko bachanay ke liye Satyagrah ki hai. –YTN STAFF3