New Delhi : Congress ki senior leader wo Delhi ki sabiq wazeer-e-aala Sheila dixit ka hafta ko 81 saal ki Umar mein Dehant ho gaya. woh lambay arsa se bemaar theen, aur unka Escorts Hospital mein ilaaj chal raha tha.
Sheila dixit saal 1998 se 2013 tak Delhi ki wazeer-e-aala rahen theen. Hospital ke Director Ashok Seth ne kaha ”Drs ki ek team ne Sheila dixit ki achi tarhan se dekh bhaal ki thi. qareeb 3 bajkar 15 minute par inhen phir se Cardiac attack hua. Iske baad inhen ventilator par rakha gaya tha aur dopehar 3:55 bajey unka Dehant ho gaya.
Sheila dixit ke Dehant par congress party ne Tweet kiya “hamein Sheila dixit ke Dehant ke baaray mein sun kar afsos hua hai. zindagi bhar congress ki rukan aur teen baar Delhi ki wazeer-e-aala ke tor par unhon ne Delhi ka chehra badal diya. hum unke ahal-e-khandan aur dostoun ki is dukh bhari ghadi mein unke sath hain.
Sheila dixit 31 March 1938 ko Punjab ke kapoor thaila mein paeda huien theen. Sheila dixit ne Delhi university ke Meranda house se tareekh mein master degree haasil ki.
Unki shadi Anao ( UP) ke IAS ohdedar aanjhani Vinod dixit se hua tha. Vinod congress ke baday leader aur bangal ke sabiq governor Anjhani Shankar dixit ke betay they, Sheila ek betay aur ek beti ki maa hain. unke betay sandip dixit bhi Delhi se rukan-e-parliament hain. apni padhai ke douran Sheila ko siyasat se dilchaspi rahi thi.
Saal 1998 mein Sheila dixit Delhi pradesh congress ki sadar banai gayeen. 1998 mein hi lok sabha intekhabat mein unhon ne congress ke ticket par mashriqi Delhi se intikhab lada, magar haar gayeen.
Is ke baad unhoun ne lok sabha intikhabaat ladna chodh diya aur Delhi ki gaddi ki aur badheen. phir Delhi ke assembly intikhabaat mein unhon ne nah sirf kamyabi haasil ki, balkay teen baar unhon ne wazeer-e-aala ke ohda par Faiz rahen. –YTN STAFF