Hyderabad. Congress Leader Mr. Mohammed Ghouse ney halqa Assembly Charminar se Majlis ki janib se Mr. Mumtaz Ahmed Khan ko umeedwaar naamzad kiye jaanay par tabsarah karte huwe kaha ke Majlis ki qiyadat un se khaufzadah hai, yahi wajah hai ke un se muqaabla ke liye 5 meqaat se Assembly ke rukn rehne walay Senior Leader ko un ke maqabil khada kiya gaya hai. Mr. Mohammed Ghouse ney akhbaari numaindon se baat cheet karte huwe kaha ke woh Congress Party ke ticket par Charminar Constituency se muqaabla karne walay hain. Mr. Mohammed Ghouse ney kaha ke Majlis ki qiyadat ney kisi bhi halqa mein apne maujooda umeedwaar ko tabdeel nahi kiya hai magar sirf Charminar halqa ke umeedwaar ko Yakutpura ke Rukn e Assembly se tabdeel kardiya hai. Unhon ney Mr. Mumtaz Ahmed Khan ko Charminar se umeedwaar bananay par kaha ke darasal Majlis ko yeh dar paida hogaya hai ke Charminar ki nashist se Majlis ke maujooda MLa ki kamyabi ke imkanaat mohom hain isi liye guzishta 25 barson se Yakutpura ki numaindagi karne walay Leader ko Charminar se umeedwaar banaya gaya hai. Mr. Mohammed Ghouse jinhein guzishta baldi intekhabaat mein Majlis ke muqabil shikast ka saamna bhi huwa tha aur jinhein polling ke din zad o kob bhi kiya gaya tha yeh daawa kar rahay hain ke Charminar se aik sher ka muqaabla sher se hoga. Mr. Mohammed Ghouse ney yeh zahir karne ke liye ke Majlis ke umeedwaar Mr. Mumtaz Ahmed Khan ko apni shikast ka khauf lahaq hai, kaha ke woh abhi se dargahon ki ziyarten karne lagey hain jinhon ney is se pahelay kabhi dargaah nahi gay thae Mr. Mohammed Ghouse jin ke ticket ko party ney abhi qatiat nahi di hai, khud ko Charminar se Congress ke umeedwaar ke taur par paish kar rahay hain. Iss istefsaar par ke Congress aur Telugu Desam Party ke darmiyan intekhabi mafahmat ki soorat mein halqa Assembly Charminar se kon muqaabla karen ge unhon ney kaha ke Congress aur Telugu Desham Party mein mafahmat ki soorat mein inhen poora yaqeen hai ke Telugu Desham Party Leader Mr. Ali Masqati bhi unhi ka naam paish karen ge chunkay Mr. Ali Masqati ney 2009 mein muqaabla kiya tha jabkay unhon ney 2015-16 mein intekhabaat ka saamna kiya ha. Mr. Ghouse ney kaha ke Majlis ko apni shikast ka khauf hai is liye aaj paheli martaba 5 meqaat se Assembly mein numaindagi karne walay dargahon ke doray karne lagey hain.