New Delhi : Congress ke senior rehnuma aur jammu wo Kashmir ke aakhri Yuvraj ( shehzada ) Karan Singh ne Modi hukoomat ki janib se Jammu Kashmir se Article370 ko hataye jaane par kaha ke mai shakhsi tor par is faisla ke khilaaf nahi hon, iske kayi faiday hain, magar isko lekar parliment ki janib se achanak liye gaye faisla par haeran hoon.
Singh ne kaha ke ladakh ko markaz ke zair-e-intizam ilaqa ka darjaa diye jaane ka mein khair-e-maqdam karta hon. 1965 may main khud bhi riyasat ki tashkeel nou ki baat kahi thi.
Unhon ne riyasat mein girftar siyasi rehnumao ki rihayi aur tabdeel shuda sorat-e-haal ke paish-e-nazar ek taaza siyasi aur civil society ke ma-kalmay ka mutalba kiya.
Singh ne ek bayan mein yeh bhi kaha ke koshishein yeh honi chahiye ke jammu wo Kashmir jald se jald ”mukamkil riyasat“ ka darjaa haasil ho, taakay is ke awam kam se kam mulk ke baqi hisson mein dastyab siyasi huqooq se lutf andoz ho saken. unhon ne khittay ki tanzeem nou aur Ladakh ko markazi zair-e-intizam ilaqa ke tor par tashkeel dainay ke markaz ke faislay ka khair maqdam kiya aur kaha ke is khittay ki tanzeem nou ke misbet asraat honge.
Aur kaha ke jammu wo Kashmir , ek aisi riyasat hai, jiski bunyaad mere aaba wo ajdaad ne rakhi thi aur jiske liye mere waalid Maharaja Hari singh ne 1947 mein Instrument of Accession par dastakhat kiye the, meri wahid fikar riyasat ke tamam tabqaat aur khitton ki Falah wo behbood ki hai.
National conference aur Peoples democratic party ( PDP ) se mutaliq, jiska unhon ne naam nahi liya, Singh ne jammu wo Kashmir ko khusoosi haesiyat dainay walay aeen ke Article 370 ko khatam karne se pehlay markaz ki ”do ilaqai jamatoun ko nazar andaaz karne par tanqeed ki. unhon ne kaha ke ”do ahem ilaqai jamaatoun ko mulk mukhalif batakar dark-nar karna ghair munsifana hai “.
Unhon ne kaha, un dono jamaaton ke kaarkunoun ne mulk ke liye guzashta saloun se bhaari paemanay par qurbaniyan di hain. iske ilaqa, dono jamaten waqtan foqtan markaz aur riyasat mein qaumi partiyon aur hukoomatoun ki ittehadi rahi hain. lehaza, main yeh guzarish karoonga ke un siyasi jamaaton ke rehnumao ko jald az jald riha kiya jaye aur unke sath aur civil society ke sath siyasi mukalima shuru kiya jaye. kisi bhi qeemat par, ilaqay mein firqa waranah hum ahangi Bar qarar rehni chahiye. unhon ne kaha ke Article 35 A mein sanfi imtiaz ko door karne ki bhi zaroorat hai. unhon ne kaha ke ”khitte mein taaza had bandi jammu wo Kashmir ke ilaaqon ke mabain ”siyasi Iqtidaar ki munsifana taqseem ko yaqeeni banayegi. –YTN STAFF