Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaCongress ke Senior rehnumao ka Rahul Gandhi se party ki qayadat karne...

Congress ke Senior rehnumao ka Rahul Gandhi se party ki qayadat karne ka mutalba

New Delhi: Congress ke 135 we Yom-e-Tasees ke mauqa par haftay ke roz, Party ke mutadid ahem rehnumao ne congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi se hukumran BJP ke khilaaf ek baar phir party ki qayadat karne ka mutalba kiya. Rahul Gandhi ji ki sar barahe mein party ne is saal ke shuru mein Lok Sabha antekhabat mein 542 nashistoun mein se 52 nashistoun par kamyaab hokar samaitt kar reh gayi thi, Ne intikhabi nataij ke sirf 2 din baad, 25 May 2019 ko Congress Working Committee ( CWC ) ki meeting ke douran aala ohday se istifa dediya tha.

Taham, Congress qaideen ne un ke istifa dainay ki tajweez ko mutafiqa tor par mustard kar diya, Lekin Rahul Gandhi datay rahay aur July ke aakhir mein sadar ka ohda chode diya. Un ke istifa ke baad, Party ne Sonia Gandhi ko 10 August ko party ka aboori sadar muqarrar kiya tha.

Haftay ko, Yahan party Headquarter mean Yom-e-Tasees taqreeb mein sahafioun se baat karte hue Madhia Pradesh ke sabiq wazeer aala aur party ke Senior rehnuma  Digvijaya Singh  ne kaha Rahul ko party sarbarah ka ohda nahi chode na chahiye tha. Lekin unhoun ne Lok Sabha entkhabaat mein shikast ke baad ye ohda chode diya, Hum chahtay hain ke wo dobarah party ki qayadat karin“. Singh mutanazia shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) aur National Register of citizen ( NRC ) ke baare mein ae sawal ka jawab day rahay they.

Party ke senior rehnuma Tariq Anwar ne bataya ke ”Aala ohday se subuk doshi ka faisla mukammal tor par un ka apna faisla tha“. CWC ke membraan aur party ke deegar rehnumao ne inhen raazi karne ki koshish ki magar wo apne faislay par qaim they. Sabiq markazi wazeer ne kaha ke ”Phir bhi party karkun aur bohat saaray party rehnuma chahtay hain ke wo party ki qayadat karen, Lekin faisla phir unka hoga“.

Ye pehla mauqa nahi hai, Jab party karkun aur qaideen Rahul Gandhi ki wapsi ka mutalba kar rahay hain. 14 December ko Delhi ke Ram Lila maidan mein party ki ”Bharat Bachao Rally “ ke douran, Bohat se rehnumao ne mutalba kiya ke Rahul Gandhi party ki qayadat karen. Ram Lila maidan mein ek baday hujhoom se khitaab karte hue Rahul Gandhi ne BJP aur is ki asal tanzeem,  Rashtriya Swayamsevak Sangh ( RSS ) par sakht hamla kiya tha aur kaha tha ke mai Rahul Savarkar nahi hon, Mein Rahul Gandhi hon aur mein sach bolnay par maffi nahi magunga“.

BJP Rahul Gandhi se un ki ”Bharat mein esmatdari“ ke un ke tasurat par maffi mangnay ka mutalba kar rahi thi. Jo unhoun ne Jharkhand mein ek intikhabi rally mein ki thi. –YTN STAFF