Hyderabad : Congress ke senior rehnuma aur mutahidda Andhra Pradesh ke sabiq wazeer, M. Mukesh Goud peer ki seh pehar yahan chal basey. unki Umar 60 saal thi. woh cancer ke marz mein mubtala they aur kuch arsa se aleel they. unki haalat tashweesh-naak honay par unke kumba ke afraad nay inhen itwaar ki raat Apollo hospital mein daakhil karwaya, jahan aaj sah pehar unhoun nay aakhri saans li. unke pasmandegan mein 2 betay aur ek beti hai.
1st July 1959 ko paeda hue mukeshgorh, teen baar mutahidda Andhra Pradesh assembly ke liye muntakhib hue. woh pehli baar 1989 mein assembly mein daakhil hue aur Hyderabad ke maharaj ganj halqa se 2004 mein apni nishist barqarar rakhi. 2009 mein unhoun nay go shesh mehal assembly halqa se intikhab jeet liya. woh do baar wazeer muqarrar hue.
Unhoun nay 2007 mein BC behbood ke wazeer aur mutahidda Andhra Pradesh hukoomat mein 2009 mein wazeer baraye marketing ke tour pa kaam kiya. woh 30 saal congress mein rahay.
Osmania University se bachelor of arts mein Graduation ke baad, Mukesh Goud nay congress se wabasta NSUI mein shaamil hokar apne siyasi career ka aaghaz kiya. aur youth congress mein faal kirdaar ada kiya. unhoun nay baldeati intikhabaat mein hissa liya aur 1986 mein jaam baagh se corporate ki hesiyat se kamyabi haasil ki.
Baad mein 1989 aur 2004 mein, unhoun nay congress ke ticket par Maharajganj se aur 2009 mein Gosha Mahal se kamyaab intikhab lada. unhon nay 2007 mein YS Rajashekhar Reddy kabeena mein BC behbood ke wazeer ke tor par aur 2009 mein kiran kumar ready kabeena mein wazeer baraye marketing ki haesiyat se kaam kiya tha. 2014 aur 2018 ke assembly intekhabaat mein, mukesh Goud ko gosha mahal assembly halqa mein BJP ke Raja singh ke hathoun shikast hoyi thi.
Congress party ko dohra gham hua. Riyasat ke do senior rehnuma duniya se chal basey. sabiq markazi wazeer S.Jaipal Reddy ki aaj hi aakhri rusomaat ada ki gayeen, aur mukesh Goud ki mout ki khabar aayi. –YTN STAFF