Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaCongress ke naye sadar ka June mein intikhab mutawaqqa

Congress ke naye sadar ka June mein intikhab mutawaqqa

New Delhi: Congress ki working committee ka ijlaas munaqqid hua jis mein naye sadar ka intikhab mah June mein karne ka faisla kiya gaya hai. Hindustan ki sab se qadeem siyasi jamaa ki policy saaz idaara working committee ne rawan saal June tak naye sadar ka intikhab kar lanay ka faisla kya hai.

Working committee ke ijlaas ke baad congress ke tanzeemi general secretary KC.venugopal ne party head quarter mein munaqidah ek press conference mein kaha ke congress ki markazi working committee ne party sadar ke intikhab ko may tak munaqqid karne ki tajweez paish ki thi lekin chunkay is douran assembly intikhabaat honay walay hain lehaza iske paish-e-nazar sadar ke intikhab ko ek mah agay badhaane par ittafaq raye hui hai.

Venugopal ne kaha ke congress sadar ka intikhab hoga aur yeh amal June tak mukammal hojayega. Unhon ne kaha ke assembly intikhabaat ke douran tanzeem ke intikhab mein pareshani hosakti hai, lehaza tanzeem ke intikhabaat June mein karwanay ka faisla kiya gaya.

Alawa azeen tamam arkaan ne party sadar se darkhwast ki ke woh election committee ki tanzeem ki tajweez ke programme ko ek maheena ke liye multawi kar dein aur june mein chand reyaston mein honay walay assembly intikhabaat ke paish-e-nazar aur tamam aribanka wali tajweez ko qubool kar liya gaya hai. The working committee ke ijlaas mein chairman ke intikhab se mutaliq ghulam nabi azad aur kuch deegar arkan ke aiteraaz se mutaliq sawal par venu gopal ne kaha ke ijlaas mein koi tanaza nahi hua aur tamam arakeen k multa ke akke ke multik par ittafaq kiya hai.

Is douran congress ke sabiq saddar Rahul gandhi ne bhopal mein ek ladki ke sath jinsi zayad-ti ke baad qatal ke waqeye par gehray ranj wo gham ka izhaar karte hue ilzaam lagaya hai ke khawateen ki hifazat mein bi ja kam hai . Rahul Gandhi ne bhopal mein ek ladki ke qatal ke waqeye ko Uttar pardesh ke hathras mein ijtimai ismat dari aur qatal ke waqeat se tashbeeh di aur kaha ke hathras jaisay waqeat BJP hukoomat mein aaye din hotay jarahay hain aur bjp khawateen ki hifazat mein nakaam ho rahi hai.