Mumbai: Maharashtra mein speaker ke ohday ke liye munaqqid kiye gaye intikhab ke douran BJP ne apne umeed waar Kisan Kathore ka naam wapas le liya, Jis ke baad, Congress ke senior rehnuma Nana F Patole itwaar ke roz yahan Maharashtra qanuunsaaz Assembly ke 14 we speaker ke tor par bulaa muqaabla muntakhib hue. ye elaan Pro-tem speaker Dilip Walse-Patil ne kiya, Jisay hukmaran Maha Vikas Aghadi aur Oppostion Maha ot ittehaad ne taliyoun ki goonj ke sath mubarakbaad pesh ki.
Patole, hukmran Shive Sena. Nationalist Congress Party aur Congress maha vikas Aghadi ( MVA ) ke umeed waar they. Jinhoun ne hafta ki sah pehar ko 169 vote ke sath aetmaad ka vote haasil kiye. Patole ke intikhab ke elaan ke fori baad hi, Wazeer aala Uddhav Thackeray aur MVA ke deegar rehnumao ne inhen mubarakbaad pesh ki aur 2 dahayoun se ziyada arsa tak Maharashra mein rukan parliament aur rukan Assembly ki hesiyat se un ki shiraakat ko yaad kiya. Wazeer aala Uddhav Thackeray ne kaha ke ”Nana Patole ek kisaan khandan se aeye hain aur mujhe umeed hai ke wo sabhi ke sath insaaf karen ge“.
Wazeh ho ke, 2014 ke Log Sabha intikhabaat mein Nana Patole ne Bhandra se BJP ke ticket par intikhab lada tha aur Praful Patel ko shikast di thi. Lekin baad mein Nana Patole ne Wazeer-Aazam Narendra Modi ke khilaaf mahaaz khol kar congress mein shamoliat ikhtiyar ki. Nana Patole 2019 ke Log sabha intikhabaat mein Nagpor mein Nitin Gadkari se haar gay they. –YTN STAFF