Hyderabad : Sabiq markazi wazeer wo congress ke senior leader S. Jaipal Reddy ilaaj ke douran itwaar ko subah 1: 30 bajey hyderabad ke ek hospital mein chal basey. unki Umar 77 saal thi. un ke pasmandegan mein ahliya ke alawa do betay aur ek beti shaamil hain. Jaipal Reddy ko shadeed bukhaar par 20 July ko asian institute of gastroenterology mein daakhil karvaya gaya tha. jahan ilaaj kar douran woh chal basey.
Peer ko unki aakhri rusumaat ada ki jayengi. imkaan hai ke unki aakhri rusomaat Hussain sagar ke paas sabiq wazeer-e-aazam PV Narsmiha rao ki samadhi, PV ghaat ke qareeb ada ki jayengi.
S Jaipal Reddy 16 jan 1942 ko Telangan ke zila Nalgonda ke Chindur mandal mein waqay nar Meetagaon mein paeda hue they. taham unka talluq Mehboob Nagar zila ke maokalla se hai.
Unki shadi 7 May 1960 ko laxmi se hui thi. Reddy 18 mah ki Umar se hi polio ka shikaar they aur unko chalne mein dushwari hoti thi. unhon ne Osmania university se M.A kiya tha. sabiq markazi wazeer Jaipal Reddy zaraat ke maahir they. woh apna fazil waqt mutalea mein sirf karte they. unhon ne kayi mumalik ka dora bhi kiya tha. aur mukhtalif wazaraton par Faiz rahay they.
Unhon ne apne siyasi career ka aaghaz OU mein apne taalib-e-Ilmi ke dinon mein kiya tha. aymr jinsi nafiz karne ke khilaaf ehtijaj karte hue, unhon ne janta party mein shaamil honay ke liye congress chod di aur baad mein iske general secretary bangaye.
Unhon ne apne siyasi career ke douran paanch martaba rukan-e-parliment muntakhib hue. aur do miyad ke liye rukan Rajya sabha banaye gaye aur chaar martaba rukan-e-assembly muntakhib hue.
Woh pehli baar 1969 mein zila mehboob nagar ke kalwa kurti se rukan-e-assembly muntakhib hoye they. aur isi halqa se 4 baar muntakhib hue they. 1980 mein Medak lok sabha halqa se sabiq wazeer-e-aazam Indra Gandhi kay khilaaf muqaabla kiya tha.
Jaipal Reddy ki mout par congress party ne radd-e-amal zahir karte hue kaha ke ”hamein Jaipal Reddy ke chal basnay par sadma pouncha hai. woh congress ke ek senior rehnuma they. hamein umeed hai ke unke arkaan-e-khandan aur dost, dukh ki is ghadi mein is sadma ko bardasht karne ki himmat karenge.
Telangana congress ke sadar Uttam kumar reddy ne tweet karte hue kaha ”Telangana ke azeem Farzand Jaipal Reddy ki mout par gehra dukh aur sadma pouncha. unki mout mere liye aur indian national congress ke liye ek dhakka hai. hum unki kami mehsoos karenge.
Telangan ke hukmuran jamaat TRS ke car-guzaar sadar ke KTR nr kaha ke’ ‘ senior leader wo sabiq markazi wazeer Jaipal Reddy ke arkaan-e-khandan aur dostoun se mein taaziyat karta hon hai.
Jaipal Reddy mulk ke ba-salahiyat siyasi rehnuma they. unhon ne mukhtalif wazraye-e-aazam ke daur mein ahem wazaraton aur ohdon par rehtay hue khidmaat anjaam diye they. 1998 mein inhen behtareen parliamentarian ka award bhi mila tha.
Markazi wazeer Jaipal Reddy ki laash ko hyderabad ke jubilee hills mein waqay unki qiyam gaah muntaqil kiya gaya hai. –YTN STAFF