Thursday, May 2, 2024
HomeSliderCongress ke Bahubali ke khilaaf BJP ko Kattapa ki talaash

Congress ke Bahubali ke khilaaf BJP ko Kattapa ki talaash

Hyderabad: kiya BJP Nagarjuna Sagar assembly intikhabaat mein apni jeet ka silsila jari rakhaygi? yeh ek million dollar ka sawal hai. halaanke Zafrani brigade yahan zimni intikhab jeetnay ke liye pur-azm hain  lekin qiyaas aaraiyan payi jati hain ke party ko abhi tak zimni intikhab ladnay ke liye ek mazboot umeed waar nahi mil saka hai.

Ye party rehnumao ke liye sakht imthehaan bangaya hai kyunkay iska muqaabla congress Bahubali K. jana reddy se karna hai. BJP ne jana Reddy ko party mein shaamil honay ka lalach dainay ki koshish ki hai, taham unhon ne wazeh kardiya hai ke woh BJP mein shaamil honay ke liye congress ko khairabad nahi kahinge. Jana Reddy ne mazeed kaha hai ke congress se aglay intikhabaat mein woh cheif minister ke umeed waar hain aur haerat zada hain ke woh kis tarhan congress ko khairabad keh kar BJP mein shaamil hojaienge. afwahon ka bazaar garam hai  Jis mein kaha jaraha hai ke nah sirf Jana Reddy balkay bohat se telangana congress qaideen yeh ta-assur dete hain ke sabhi chief minister ke umeed waar hain taham, Congress ko assembly intikhabaat se lekar haliya GHMC intikhabaat tak shikast ka shadeed dhaka laga hai lekin phir bhi telangana ke beshtar congress qaideen cheif minister ke ohday ke liye apni davedari  ka elaan karne mein aar mehsoos nahi kar rahay hain.

Siyasi tajzia nigaroun ne kaha ke congress qaideen awam ki shikayaat ke azale ke liye tehrikon ke baghair press meeting karne ki aadat rakhtay hain to  wo intikhabaat mein faateh kaisay ban  sakte hain. Unhon ne herat ka izhaar kiya. Aisa lagta hai ke BJP qaideen bhi congress ke isi tarhan ke culture ki taqleed kar rahay hain. is haqeeqat ko faramosh karte hue ke Telangana BJP ne abhi kayi mil ka safar tay karna hai kyun ke riyasat bhar mein is ki mazbooti nahi hai. BJP qaideen bhi chief minister ke umeed waar se mutaliq Telangana congress qaideen ki taqleed kar rahay hain.

Adilabad ke rukan-e-parliment Bapu rao ne kaha hai ke party ke Iqtidaar mein aanay par markazi wazeer mumlikat braay dakhla G. kishan Reddy chief minister ke umeed waar honge. Apna naam zahir na karne ki shart par ek rehnuma  ne kaha ke bapurao ke bayan par haerat ka izhaar kiya gaya hai, is qisam ke bayanaat se party ke imkanaat ko nuqsaan pohanchega. Jab zaati mafadaat tarjeeh ban jayenge to party mafadaat doosri tarjeeh baninge. Unhon ne kaha ke party ko abhi bohat kuch haasil karna baqi hai aur is tarhan ke bayanaat dainay ka yeh sahih waqt nahi hai.