Wednesday, July 9, 2025
HomeHyderabadCommissioner Police Hyderabad ney Aazmin e Hajj ke 12 wein qaafila ko...

Commissioner Police Hyderabad ney Aazmin e Hajj ke 12 wein qaafila ko vidaa kya

Jumla 3600 Aazmin karaam Makkah Mukramah pahonch gaye. Budh ko do qaafilon ki rawaangi.

Hyderabad- Commissioner Police Hyderabad Mr. Anjani Kumar ney kaha hai ke Aazmin e Hajj, Makkah Muazzama mein riyasat Telangana bilkhushoos Hyderabad ki Ganga Jamuni tahazeeb ki barqarari aur yahan rehne walay awam ke khushhali ke liye’ aur khaas taur par nai nasal ki munasib tarbiyat’ rahnumai aur Falah o behbood ke liye khusoosi dua karen. Unhon ney kaha ke Aazmin ko vidaa karna un ki khush naseebi hai’ Aazmin e Hajj khush naseeb hain ke unhen Allah taala ney apne darbaar mein haazri ke liye talab kya hai. Aaj Haj House mein Aazmin e Hajj ke 12 wein qaafila ko jhandi dikha kar vidaa karte hue unhon ney in khayalat ka izhaar kya aur kaha ke aazmin ki madad aur khidmat karne walay bhi khush naseeb hain. Commissioner Police ney Aazmin e Hajj ko mahswara diya ke woh tamam shanakhti dastawizaat hamesha apne sath rakhen. unhon ney kaha ke woh muqamat Muqaddisa mein apne Mulk aur Shaher ke safeer hain is liye wahan discipline aur safai ka khaas khayaal rakhen. Unhon ney Aazmin e Hajj se khwahish ki ke woh Makkah Muazzama mein jitna bhi waqt guzray woh duaon aur ebadaat karte rahen kyunkay dua mein aisi taaqat hai jis se insaan ki zindagi mein aik tabdeeli aati hai. Mr. Anjani Kumar ney kaha ke adai Hajj ke baad insaan mein aik numayaan tabdeeli aati hai lehaza Hajj se wapsi ke baad woh aisa kuch Karen ke hamaray muashra mein aik musbit tabdeeli aeye aur hamari nai nasal mein achi aadaten aur salahiyaten parwaan chadhein. Commissioner ney kaha ke agar aik fard hi kisi ke haq mein dua kardey to badi baat hoti hai aaj yahan itney saaray log hain aur un ki duayen lena un ki khush qismati hai. Sadarnasheen Telangana State Waqf Board janab Mohammad Saleem MLC ney Aazmin se kaha woh Harmain Sharifain mein Facebook’ Whatsapp waghera ke istemaal se guraiz karen aur selfie lainey par tavajja nah den’ jo waqt mil raha hai usay ibadton ke zareya Allah aur Allah ke rasool ko raazi karne ki koshish karte rahen. Sadarnasheen Hajj Committee janab Mohammad Maseehullah Khan ney kaha ke Aazmin e Hajj Allah ke maheman hain aur un ki khidmat har musalman ka farz aur baayis khush naseebi hai, unhon ney Aazmin se khwahish ki ke woh aik farz ki takmeel ke liye jarahay hain is liye woh apna tamam waqt ibadaat mein sarf karen. Special Officer Prof. S. A. Shukoor ney kaha ke Telangana State Hajj Committee Aazmin e Hajj ki rawaangi ke alawa un ki wapsi aur Saudi Arab mein un ke qiyam ke douran un ki har terha se madad aur rahnumai ke intizamaat karti hai. Maulana hafiz Mohammad Osman Naqshbandi Imam Makkah Masjid ne Hujjaj karaam ko baaz zaroori ahteyati baton se waaqif karwaya aur kaha ke woh tavajja aur inhimak ke sath manasik Hajj ada karen. Hyderabad se ab tak Hujjaj karaam ke jumla 12 qaafilon ke zareye 3, 600 Aazmin, Makkah Mukramah pahonch gaye. Aaj 12 wein qaafila ke zareye 300 Aazmin rawana hue, jin ki flayit ney theek 4:00 bajay udaan bhari. Is mauqa par Director mehakuma Aqliati Bahbood janab Shahnawaz Qasim,  arkaan Hajj Committee janab Mohammad Arif Ahmed,  janab Abu Talah Amjad, janab Imtiyaz Khan, janab Arifuddin ke alawa DCP Central Zone Mr. Vishwa Prasad DCP Traffic Mr. Babo Rau, Additional DCp Mr. Mohammad Taajuddin,  Assistant Secretary Hajj Committee janab Irfan Shareef aur dosray maujood thaiy. Budh 8th August ko do qaafilon ke zareye 600 Aazmin barahJeddah, Makkah Muazzama rawana honge. Pahela qaafila 6:00 bajay shaam aur dosra qaafila 10:00 bajay shab parwaaz kerega.

Police Scort mein qaafilon ki rawaangi

Aaj ke band ke paish e nazar shehar mein RTC buses bhi band rahin, taham RTC ki janib se Aazmin ki buses ki rawaangi ka khusoosi intizam kya gaya. Hajj Camp, Nampally se Rajiv Gandhi International Airport ke Hajj Terminal tak jo special buses chalaye gayeen. Har do basoon ke sath Police scart rakha gaya aur is terhan Police Scort ki nigrani mein Aazmin ki rawaangi amal mein aayi. Telangana State RTC ki janib se aala ohdedar camp ke aaghaz se hi shaksi taur par buses ki rawaangi ki nigrani kar rahay hain. Un mein Mr. C Vinod Kumar Regional Manager Hyderabad Region, Smt. Sudha Parimala Divisional Manager Charminar, Smt. Samira Afreen Dpot Manager Fallaknuma aur Mr. K V V Reddy Depot Manager Mehdipatnam shaamil hain jo har qaafiley ki rawaangi ke mauqa par Hajj House mein maujood rehtay hain. Janab Sheikh Basha Retd. Divisional Manager APSRTC Hajj Committee ki taraf se buses ke intizamaat ki nigrani karte hain.