Monday, April 21, 2025
HomeIndiaColonel Purohit ki janib se khufia dastawizaat ke daakhil karne par mutasireen...

Colonel Purohit ki janib se khufia dastawizaat ke daakhil karne par mutasireen ki shadeed narazgi

Mumbai : Malegaon 2008 bomb dhamaka muamlay mein aaj dhamaka ke mutasireen ne is muamlay ke ahem mulzim colonel Purohit ki janib se adalat mein daakhil kardah khufia dastawizaat ki aaeni haesiyat par sawal uthatay hue mutasireen ko muhayya karwaye jaanay ki gzarsh khusoosi NIA adalat ke judge se ki.

Bomb dhamaka mutasireen ko qanooni imdaad faraham karne wali tanzeem Jamiat ulama Maharashtra  ( Arshad Madni ) ki janib se aaj khusoosi NIA adalat mein senior advocate BA Desai ne behas ki aur adalat ko bataya ke qanoon ke mutabiq khufia dastawizaat adalat mein daakhil karne ka ikhtiyar sirf ministry of defense ko aur mehakma defense ke minisetr ke halaf nama ke zareya hi khufia dastawizaat adalat mein paish kiye jasakte hain lekin is muamlay mein mulzim ne naam Nihaad khufia dastawizaat daakhil karkay usay mutasireen ki pohanch se door kiya hua hai jis par bomb dhamaka mutasireen ko shadeed aiteraaz hai neez taajjub is baat par hai ke qaumi tafteeshi agency ne bhi is muamlay mein khamoshi ikhtiyar kar rakhi hai.

Senior advocate BA desai ne khusoosi NIA adalat ke judge Vinod se kaha ke qanoon shahadat ki dafaa 123 ke tehat koi bhi kisi bhi dastaweez ko khufiah dastawizaat ke zumray mein zahir karne se pehlay adalat ko deegar fareeq ki raye bhi lena chahiye lekin is muamlay mein aisa nahi kiya gaya aur ab mulzim khufia dastawizaat ka bahana bana kar adalat ki karwai ko band kamray mein karwana chahtay hain.

Wakeel BA desai ne adalat se mazid kaha ke is muamlay mein NIA ka kirdaar mushtaba raha hai lehaza mutasireen ko mauqa diya jana chahiye taakay woh adalat ke samnay dalail paish kar saken. douran behas BA desai ne adalat se kaha ke criminal procedure code mein mutasireen ko ahem maqam haasil hai aur inke raye liye baghair koi bhi faisla karna unke sath na insafi hogi.

NIA ki janib daakhil kardah arz-dasht jis mein unhon ne muqadma samaat band kamray mein kiye jaanay ki darkhwast ki hai is par bomb dhamaka mutasireen ne aiteraaz kiya hai jabkay Bhagwa mulzimin ne NIA ki arzdasht ki himayat ki hai. Sadhvi pragya singh Thakur ke wakeel ke alawa tamam fariqain ki behas mukammal hochuki hai.

Adalat ne pragya Thakur ke wakeel ko behas karne ke liye aakhri mauqa diya hai aur muamlay ki samaat jummay tak multawi kar di. Douran-e-samaat adalat mein Jamiat ulama Maharashtra ki janib se advocate Ansar tamboli, advocate Shahid Nadim , advocate Hethali seth wo deegar moujood they. –YTN STAFF