Friday, May 10, 2024
HomeJurmClassroom mein saathi ne taalib-e-ilm ko goli mardi

Classroom mein saathi ne taalib-e-ilm ko goli mardi

Buland Shehar: kamray jamaat mein taalib-e-ilmoon ke darmiyan behas, takraar aur ladai jhagdey talebi-e-Ilmi ke daur ki sunehri yadien hoti hain lekin is daur mein taalib-e-ilmoun ke darmiyan ke jhagdey qatal tak pahonch chuke hain kyunkay Uttar pradesh ke ek taaza tareen waqay ne sab ke dil dehla diye hain. Tafseelaat ke Mutabis uttar pardesh ke zila buland shehar ke shikarpur ilaqay mein mojood Sooraj bhavan vidya saraswati mandir mein 10th jamaat ke ek taalib-e-ilm saathi taalib-e-ilm ne goli maar kar qatal kardiya.

Mossola ittila ke mutabiq dono taalib-e-ilmoon ke darmiyan kursi hataane ke zimn mein tanaza khara hua jisne taalib-e-ilm ki jaan hi leli. Apne saathi ko qatal karne ke liye taalib-e-ilm ne apne chacha ke license Yafta bandooq se is sansani khaiz waardaat ko anjaam diya hai. Mulzim ko school mein hi gate band karkay pakad liya gaya. Gaon aancharo kalla bashindah ravi kumar ka 14 saal ka beta tarjan nagar ke Sooraj bhaan sarasvati Widya mandir internal college mein 10th Jamaat ka taalibe-e-ilm hai.

Saal 2020 ke aakhri din jumaraat ko deegar talba ke sath tarjan bhi school pohancha. Class shuru honay se pehlay hum jamaat suni choudhri ne tarjan ko ek kursi utha kar doosri taraf rakhnay ki hidaayat di. Kursi hataane ke liye dono ke darmiyan nok jhonk hui jiske baad nobat yahan tak pohanchi ke suni ne bag se pistol nikaal kar yakke baad deegar do golian tarjan ko maar den jis se iski mout hogayi. Goli chaltay hi deegar talba mein bhagdar mach gayi. Iska faida utha kar khaati taalib-e-ilm class se nikalne mein kamyaab hua.

Is ke baad principal parbhat kumar verma ne fouran hi school ka mean gate band karwakar police ki ittila di.

Police ne school aamad ke sath hi qatal ke mulzim suni ko pistol samait girftar karliya. Taalib-e-ilm ke paas pistol kahan se aayi iski ibtidayi tehqeeq se maloom hua ke ye pistol taalib-e-ilm ke chacha ki batayi jarahi hai.

School ke principal ne kaha hai ke kursi hataane ke silsilay mein dono ka jhagda hua tha. Tarjan ke qatal ki khabar suntay hi maqtool ke ghar mein maatam mach gaya.