Hyderabad. Maulana Azad National Urdu University, Instructional Media Centre (IMC) ki janib se University Film Club ” Cinematheque MANUU ” ka 26 October ko 5 bujey shaam CPDUMT Auditorium mein iftitah amal mein araha hai. Is silsila mein Iran Culture House, New Delhi ke ishteraaq se Iranian Film Festival ka bhi aaghaz hoga. Yeh 3 November tak jari rahey ga.
Janab Rizwan Ahmed , Director IMS ke bamajib samaji zindagi mein cinema ki ahmiyat ko malhooz rakhtay huwe IMC MANUU ney Film Club ”Cinematheque MANUU ” ka aaghaz kiya hai. is ke tehat har hafta ke ekhtataam par Classic Cinema, taleemi programme, Film aur Documentry ki Screening hogi. Tulba aur arkaan e staff is se istefada kar saktay hain.
Iftetahi ijlaas ki sadarat Dr Mohammad Aslam Parvez , Vice Chancellor karen ge. Janab Ali Asghar Rastgou, First Consul General, Islami Jamhooria Iran, Hyderabad, Professor Shakeel Ahmed Pro Vice Chancellor MANUU, Dr M A Sikandar , Registrar MANUU aur Janab Mohsen Ashouri, Cultural Attache, Irani Consul khanah, Hyderabad mahman e aizazi honge.
Directed Reza Mir Karimi ki film ” A Cube of Sugar” se film festival ka aaghaz hoga. Iftetah se qabal Master of Persian Paintings aur Miniatures ke maahir Mahmood Farshcian ki paintings Iranian Handicrafts ki numayesh ka 4:30 bujey IMC Auditorium mein iftetah hoga.