New Delhi: Christmas ke mauqa par Mandi House mai mangal ke roz naye manzoor shuda shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj karne walay loogoun ne is naaray par mushtamil poster lagaya mai Christmas ke liye lathi charge kar raha hon“. Mandi House mai shuru honay wala ehtajaji March Jantar Mantar tak jaree raha, Aur is mein Swaraj India ke rehnuma Yogendra Yadav aur JNUSU ke sabiq rehnuma Umar Khalid bhi shaamil they.
Is March ke douran ”Azaadi“ aur Inqelab“ ke naaray aur muhib watan ke ganay gunjtey rahay. loog hukoomat aur media ke khilaaf bhi naaray lagatay dekhe gaye. Muzahireen ne Chandrashekhr Azad, Rajguru aur Bhagat Singh jaisay mujahideen azaadi ki tasaveer aur baday baday hoardings ke sath dekhe gaye.
Muzahireen mein se 1 shakhs Vikrant, Ne media se baat karte hue bataya ke ”CAA se mazhabi tafreeq peda hogi, Ye ghair aaeni aur mann maani hai“. Riyasat Uttar Pradesh mein police aur hukoomat be dardi se kaam lerahi hai. Muzahira mein shaamil ek aur shakhs ne kaha mai khaufzadah hon aur is liye mein yahan hon.
Muzahireen se khitaab karte hue, Swaraj India ke chief Yogendra Yadav ne kaha ”Logoun ne 19 decemeber ko ghair aaeni bill ke khilaaf ehtijaj karne ke liye Lal Quila ki taraf rawana hue, Kyunkay ye wo din hai, Jab Ashfaq aur Bismil ne apni jaanun ka nazrana pesh kiya. Hum mulk ki bunyaad par hamlay ke khilaaf khaday hin“.
Unhoun ne kaha ke mai poori Jamia baradri ko salaam pesh karta hon. Loog ye bhool jatay hain ke Jamia Angrezeo ki qaim kardah University nahi hai. Ye jaddo jehed azaadi ki zimni pedawar hai. Agar kisi university ko qaumi kaha ja sakta hai to wo sirf aur sirf Jamia Millia Islamia hai. Isi beech, 63 se ziyada youth tanzeemoun ne wazeer aazam ki taraf se digayi wazahat ko mustard karne ke baad hukoomat ko shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) mansookh karne ka Altimetam day diya.
Unhoun ne kaha ”hamin yaqeen hai ke CAA muslim mukhalif hai aur is terhan firqa waranah tafarruqa angaiz hai. Ek NRC croredoun Hindustanioun sameit musalmanoun aur ghareeboun ko mayoos kerega. Un ki shehriat ke haqooq chean liye jayen ge. Unhoun ne kaha ke NRC ke pehlay qadam ke tor par, markazi hukoomat ne National Population Register ( NPR) laya gaya hai.
NPR ek aam abadi ki ginti ka amal nahi hai. Ye shehrioun ko mashkook ya ghair qanooni shehri qarar dainay ki taraf pehla qadam hai. –YTN STAFF