Thursday, March 28, 2024
HomeSliderChoutha test, Hindustan ko Gaba ki tareekh aur zakhmi khiladion ke challenge...

Choutha test, Hindustan ko Gaba ki tareekh aur zakhmi khiladion ke challenge ka saamna

Brisbane: Hindustan aur Australia ke darmiyan chaar test matchon ki border-gawaskar trophy ke liye faisla kin muqaabla jummay ko Brisbane ke maidan par shuru honay ja raha hai jis mein series par qabza karne ke sath sath ICC ki number one test ranking bhi dao per rahaygi. Hindustan aur Australia 1-1 ki barabari ke sath chouthay test mein daakhil honay jarahi hain. Australia ne adealide mein pehla test aath wicket se jeeta tha jabkay Hindustan ne Melbourne mein dosra test aath wicket se jeet kar series mein barabari haasil ki. Sydney mein teesra test dara par khatam hua aur ab series ka faisla Brisbane mein chouthay aur faisla kin test se hoga.

Agar Hindustan Brisbane test mein jeet jata hai ya draw khelta hai to woh border-gwaskr trophy –apne paas barqarar rakhayga kyunkay Hindustan ne 2018-19 mein Australia se series 2-1 se jeeti thi. agar australia series jeetnay mein kamyaab raha to woh ICC test ranking mein phir se number ek par pahonch jayega. agar Hindustan ne choutha test jeeta ya series 1-1 se barabar rahi to newzealand number ek par barqarar rahayga. Mojooda darja bandi mein Newzealand 118 point ke sath pehlay, Australia 116 point ke sath dosray aur Hindustan 114 point ke sath teesray maqam par hai. Hindustan is test se pehlay apne zakhmi khiladion ke masail se pareshan hai aur is ne Brisbane test ke liye apni aakhri eleven ka elaan nahi kya hai jabkay Australia ne apni aakhri eleven ka elaan kardiya hai aur team mein ek tabdeeli ki hai.

pokoski kandhe ke zakham ki wajah se is test se bahar hogaye hain. Agar Hindustan australia ke khilaaf series jeetna chahta hai to usay Brisbane ground par apni tareekh badalni hogi. Hindustan ne is maidan mein kabhi test match nahi jeeta. Brisbane ka maidan Australia ki team ka na qabil-e-taskheer qilah samjha jata hai jahan is ne guzashta 33 barson mein kabhi shikast ka saamna nahin kiya aur nah hi woh Hindustan se kabhi haara hai. australiyai ne guzishta saat test musalsal Brisbane mein jeetay hain. Australiyai team aakhri baar Brisbane mein November 1988 mein is waqt oar gai thi jab usay west indies ne no wicketon se shikast di thi. Hindustan ne Brisbane mein chay test khailay hain, un mein se paanch mein shikast aur 2003 mein khela gaya test dara raha tha. Hindustan is series ke pehlay teen test mein match se qabal tak apni aakhri eleven ka elaan karta aaya tha lekin chouthay test se qabal abhi tak is ne apni aakhri eleven ka elaan nahi kiya hai. Hindustan match ki subah tak apne khiladion ki fitness se mutaliq hatmi report ka intzaar karega aur is ke baad woh apni team ka elaan karega.

Hindustan ko team mein ravinder jadeja aur Hanuma vihari ka mutabadil talaash karna hai. zakhmi honay ki wajah se dono is match se bahar hain. Jadeja ke baen haath ka anghutha toot gaya hai jabkay Hanuma ko azlaat mein jakran ki shikayat hai. Team ke fast bowler Bumrah ki fitness ke baray mein bhi sorat-e-haal wazeh nahi hai. unke pait mein khinchao ne unke maqam par shradul Thakur ya T. Natarajan mein se kisi ek ka intikhab kya ja sakta hai. Thakur ne Hindustan ke liye 2018 mein wahid test khela tha jabkay baen haath ke fast bowler natrajan ke career ka pehla test match hoga.