Paris: Aap ney bachon ki kahaaniyon filmon bilkhushoos ‘Hansel and Gretel’ mein aik ghar dekha hoga jo mukammal tor par Chocolate aur khaney peenay ki ashya se bana hota hai lekin ab France mein aik aisa hi chhota cottage banaya gaya hai jis ki har shai chocolate se bani hai. Iss ghar ki dewarain, chhat, aatish daan, ghadiyaal, kitaaben aur yahan tak ke fanoos bhi Chocolate se dhaalay gaye hain. Paris ke junoob maghribi nawah mein qayim is cottage ko France ke mashhoor chocolate designer jain lok Jean-Luc Decluzeau ney banaya hai. Iss ki khaas baat yeh hai ke batkhon ka talaab aur khud bistar tak chocolate se baney hain yani naam ki chand cheezon ke siwa ghar ka beshtar hissa chocolate se banaya gaya hai. Jean-Luc ney poori zindagi chocolate se hairat angaiz ashya takhleeq ki hain aur ab is ghar ki tayari ke liye bhi unhon ney bohat se naye andaaz aur technique par kaam kiya hai. Lekin ab sawal hai ke kiya iss ghar mein raha ja sakta hai to iss ka jawab isbaat mein hai. Hotels ki booking ki aik bain ul aqwami website ke mutabiq jo log yahan raat guzaarna chahtay hain woh 5th aur 6th October ko yahan tehhar sakte hain. Yahan rukney walay afraad chocolate ghar mein aik workshop mein hissa le saken ge taakay woh isi terha ke chocolate ghar ka aik model bana saken. Iss ke alawa yahan ke dilkash phool baagh mein baith kar lazeez khaney bhi khaa sakenge.