Hyderabad : Sabiq wazeer T Haish rao nay aaj kaha ke wazeer-e-aala k. Chandra shekhar rao ke gaon Chintamadaka mein ek mini Urban park banaya jayega. Harish rao nay ohdedaron ki ek team ke hamrah gaon ke qareeb jangalaat ka dorua kiya, jis mein chief forest officer shobha, collector Venkat ram reddy aur deegar shaamil hain.
Is mauqa par khitaab karte hue Harish Rao nay kaha ke reyasti hukoomat gaon mein ek mini Urban park bananay ka iradah rakhti hai. KCR nay iske liye iqdamaat karne ki hidaayat ki hai aur ohdedar is gaon mein park bananay ke liye sargaram hain.
Unhoun nay bataya ke gaon mein Smriti vanam ki tarz par ek park qaim kiya jayega. –YTN STAFF