ShahJahanpur: Sabiq markazi wazeer Chinmayanand, Jo is waqt qanoon ki taliba ke sath jinsi harasani karne aur usay blackmail karne ke ilzaam mein Jail mein qaid hain, Ke khilaaf 13 Decemeber ko adalat ek aur jinsi harasani case ki samaat kere gi. Ye case 2012 se qabal Sadar Kotwali mein darj kiya gaya tha.
Mutasirah ke wakeel Mukesh Kumar Gupta ne bataya ke October 2012 mein charge sheet daakhil honay ke bawajood case zair iltiwa hai. Yogi Adityanath hukoomat ne guzashta saal Chinmayanand ke khilaaf muqadma wapas lainay ka mutalba kiya tha, Lekin mutasirah ne aitraaz jatanay ke baad adalat ne ijazat nahi di thi.
Adalat ne Chinmayanand ke khilaaf na qabil zamanat warrant bhi jari kiya tha, Is ke baad wo high court gaye aur hukkum imtinai haasil kiya. Case ki files bhi adalat ko arsaal ki gayeen, Jo ab district court mein wapas aagai hain. Mutasirah ke wakeel ne bataya ke ab is case ki samaat special MP, MLA court mein ho gi.
2012 mein, Mutasirah ladki ne Chinmayanand par 2005 se Shahjahanpur mein waqay apne Aashram mein usay qaid karnika ilzaam lagaya tha. Is ne daawa kiya ke is ke sath maar pait ki gayi aur uski kayi baar Ismatdari ki gayi. FIR mein ladki ne ye bhi ilzaam lagaya ke usay 2 baar isqaat hamal karana para.
Chinmayanand ne mutasirah ladki ke ilzamaat ko mustard kar diya tha. Unhoun ne kaha tha ke mutasirah ladki, Jo Delhi se talluq rakhti hai, Ek call center mein kaam karti thi aur taqreeban 11 saal qabal is ki maa ke sath pehli baar un ke paas aayi thi. Is waqt rukan parliament ki hesiyat se, Unhon ne usay apni sarkari zaati Muawin ki hesiyat se nokari par rakha tha. 2003 ke baad wo apne Shahjahanpur Aashram mein muntaqil ho gayeen. –YTN STAFF