Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaChina sirf taaqat ki zabaan samjhta

China sirf taaqat ki zabaan samjhta

New Delhi: Congress ney kaha hai ke ab tak ke tajarbaat se pata chalta hai ke China ko bahami baat cheet aur aman ki zabaan samajh mein nahi aati aur wo sirf taaqat aur jarhiyat ki zabaan samjhta hai, Is liye isi ki zabaan mein usay jawab diya jana chahiye.

Congress ke tarjuman Manish Tewari aur Gaurav Gogoi ney yahan press conference mein kaha ke is se pehlay bhi kayi baar dekha gaya hai ke jab bhi China ne sarhad par kasheedgi ki fiza peda ki to Hindustan ne aman ki bahaali ki koshish karte huve is se baat cheet ki pehal ki lekin is ne is pehal ka jawab jarhiyat se diya hai. China ke sath is tajarbay se aisa lagta hai ke wo sirf taaqat ki zabaan samjhta hai aur Hindustan agar usay taaqat dekhata hai to wo sab kuch samajh jaye ga.

Gaurav Gogoi ne kaha ke China aman ki baat bilkul nahi samjhta hai. Ladakh ki jhadap se pehlay mutadid mawaqay par is ki jarhiyat ko rokne ke liye baat cheet ki koshishen ki gayeen lekin wo is koshish ko samajh nahi paye. Is liye usay taaqat ki zabaan mein hi jawab diya jana chahiye.

Unhoun ne kaha ke hukoomat ko ye khayaal rakhna chahiye ke Arunachal Pradesh aur Ladakh ko dosra Doklam nahi ban’ne dena hai. China ne Doklam mein apne fouji markaz ko mazboot kiya hai aur ye sorat e haal China ki sarhad par kisi doosri jagah nahi honi chahiye kyunkay is se hamein hi nuqsaan hoga. China par dabao barqarar rakhne ki zaroorat hai lekin mushkil ye hai ke Wazeer e Azam Narendra Modi mulk ki hifazat se qata nazar sirf apni shabeeh banane mein masroof hain aur inhen sarhad par darandazi se koi diqat nazar nahi aati hai.

Congress rehnumao ne kaha ke cheeni fouj ne hindustani sarzamen par qabza kiya hai lekin Modi hukoomat isi ki zabaan bolti hai. Unhoun ne kaha ke Congress party is hukoomat ki muzammat karti hai jo fouj ke peechay chhupi huvi hai aur koyi jawab nahi day rahi hai. China ne hamari sarzamen par qabza karliya hai aur hukoomat kuch nahi keh rahi hai aur is ke bar aks Opposition par hi fouj ke hauslay pust karne ka ilzaam lagaya ja raha hai.