Monday, May 20, 2024
HomeIndiaChina se doodh ki dar-amad par pabandi mein mazeed towsee

China se doodh ki dar-amad par pabandi mein mazeed towsee

New Delhi : Delhi markazi hukoomat ney China se dar-amad hone walay doodh aur doodh se ban’nay wali ashya mein nuqsaan da chemical milwat ki wajah se unhein Hindustan daraamad karne aur farokht karne par aed pabandi mein teen mah ki tosee kar di gayi hai .

Ghair mulki tijarat directorate general ney jari ek aalamia mein kaha hai ke yeh pabandi chaharshambe se nafiz hogi. hukoomat ney China se anay walay doodh aur doodh ki ashya mein milawat ki moujoodgi ko dekhte hue 24 october 2008 ko pehli martaba pabandi aed ki gayi thi aur is pabandi ki miyad mein musalsal izafah hi hota raha hai. un ashya par guzashta martaba 24 decemeber 2018 ko pabandi aed ki gayi thi jo 23 April ko khatam ho gayi thi. nayi pabandi aindah chay mah tak nafie-e-amal hogi .

Wizarat ke mutabiq food safety aur standard authority ney 5th  April ko mutaliqa mehakma aur wizarat ke sath ek ijlaas munaqidah kya tha jis mein China se daraamad doodh aur doodh ki ashya par 6 mah tak mazeed pabandi mein tosee karne ka faisla kiya gaya hai. alawa azeen tamam bandargahon par milawat ki tafteesh karne wali machines laganay tak pabandi jari rakhnay ki sifarish ki gayi hai .

Ghair mulki tijarat directorate general ke mutabiq sifarshaat ke mutabiq China ney doodh aur doodh ki ashiya jaisay chocolate, candy aur doodh ki ameezash se ban’nay wali ashya ko Hindustan  mein daraamad karna aur unhein farokht karne par pabandi nafiz rahayi . –YTN STAFF