Monday, May 6, 2024
HomeSliderChina par Russian Fighters, kharidne par America ki pabandi

China par Russian Fighters, kharidne par America ki pabandi

Trump intizamia ne China ki fouj par Russian fighter planes aur Missile System kharidne par pabandi lagadi. Russia se fighter planes aur Missile System kharidne par America ne China ke fouji idara par pabandi lagai hai, Amrici mahkuma e kharija ke mutabiq woh fauri taur par Chinese fouj ke aik unit par pabandi ka itlaq karega. Amrici mahkuma e kharija ka kahna hai ke Russia se s U 35 fighter planes aur Missile System s 400 kharidne par China par pabandiyan hain. Amrici mahkuma e kharija ka kahna hai ke America Chinese fouj ki branch Economic Development Department aur mahkuma ke director par fauri pabandi nafiz karega. Khabar-rasan agency ke mutabiq Chinese agency aur is ke sarbarah export licence aur American Financial System ke liye block kardiya gaya hai. Chinese agency aur iss ke sarbarah ko is fehrist mein bhi shaamil karliya gaya jis ke zareya woh americion ke sath business nahi kar saken ge. Amrican intizamia ne Russian military aur intelligence se talluq rakhnay wali mazeed 33 afraad aur companiyon ko black list kya hai. Chinese idaara ka Russian hathyaaron ki kharidari ka iqdaam Russia par aayed Amrici pabandion ki khilaaf warzi hai, jis ke tahet Russia ki difai sanat ke sath baday paimanay par lain daen karne walay teesray fareeq par pabandiyan lag sakti hain .