Thursday, May 16, 2024
HomeSliderChina ne Coronavirus ki tehqeeq par pabandi ayed kardi

China ne Coronavirus ki tehqeeq par pabandi ayed kardi

Beijing: China ne Coronavirus se mutaliq tehqeeqi mtalaat ki ashaat par pabandi ayed kardi hai. China ki 2 jamiyaat ne is zimn mein markazi hukoomat ki hidayat ki roshni mein Online Notice shaya kiye hain.
CNN ki ek Report ke mutabiq China ki markazi hukoomat ke ehkamaat ke baad Internet se tamam sabiq elanaat hazf kar diye gaye hain. Cheeni hukoomat ke is faislay ke baad ek martaba phir is ke baray mein naye sawal peda hogaye hain aur un ilzamaat ka iada kiya ja raha hai ke is neh mulk mein Coronavirus ki waba phelnay ke baad ibtidayi ayyaam mein mamlaat ki durust tadaad Report nahi ki thi aur parwaazoun ko aamad waraft jari rakhnay ki ijazat di thi jis ki wajah se dosray mumulik mein bhi ye mohlik Virus phail gaya tha.

CNN ke mutabiq China ne hanooz Coronavirus se mutaliq maloomat ko chupaney ka silsila jari rakha huwa hai. Is ki Report mein China ki wizarat taleem ke shoba Science aur Technology par ilzaam ayed kiya gaya hai ke is ne ek haidaayat nama jari kiya hai jis mein kaha gaya hai ke virus ki asal se mutaliq Academic Papers ( tehqeeqi maqaloun ) ka sakhti aur bareek beeni se intizam kiya jaye.
Is hidaayat naame mein aisay muqaloun aur jarayed ki manzoori ke amal ka tareeqkar bhi bayan kiya gaya hai. Science daan apne tehqeeqi muqaloun ko jamiyaat ki tadresi Committees ko jama karwaenge aur wo phir unhein hatmi manzoori ke liye wazarat taleem ke shoba Science aur Technology ko bhejengi.

 Wizarat phir un muqalon ko China ki markazi intizami Autority State Council ko bejegi. Is ki Task Force un ke jaizay ke baad un ki ashaat ya adam ashaat ke barey mein mutaliqa jamia ko mutala keregi.
CNN ne apni Report mein ye bhi kaha hai ke COVID-19 se mutaliq dosray tehqeeqi Pepars ka jamiyaat ki tadresi Committee jaiza lenge. Wo un ki tadresi qadro-qemat aur ashaat ke munasib waqt ki bana par un ke barey mein koi faisla karengi.

Ek cheeni muhaqiq ne Americi Cable News Network ko apni shanakht zahir na karne ki shart bataya hai ke ye ek afsos naak pesh raft hai, Is se ahem Science tahaqeeq mein rukawat haail hosakti hai. Is muhaqiq ne is raye ka izhaar kiya hai ke ye cheeni hukoomat ki ek marboot koshish hosakti hai aur is ka maqsad corona se mutaliq bayanoun par Control hai aur ye zahir karna hai ke is mohlik Virus ka manba China nahi tha.
China ki wizarat taleem ke shoba Science aur Technology ke amlah ke ek rukan ne is hidayat naame ke ajra ki tasdeeq ki hai aur kaha hai ke ye sarkari dastawizaat aam ashaat ke liye nahi thi balkay sirf daftari maqasid ke liye hi thi.

Wazeh rahay ke isi mah ke awail mein America ne China par Coronavirus ki mohlik waba se mutaliq kazb bayani se kaam lainay ka ilzaam ayed kiya tha. Is ne White House ko pesh ki gayi ek Intelligence Report ka hawala diya tha jis mein China par maloomat ko chupaney ka ilzaam ayed kiya gaya tha.
Americi sadar Donald Trump ne guzashta mah China par Coronavirus se mutaliq data jald shaya nah karne ka bhi ilzaam ayed kiya tha. AFP ne un ka ye bayan naqal kiya tha ke unhoun ( Chines ) ne jo kuch kiya hai, Duniya is ki bhaari qeemat chuka rahi hai. –YTN STAFF