Saturday, April 27, 2024
HomeSliderChina mein selaab ke baad Budha ke azeem mujasmay ko khatrah

China mein selaab ke baad Budha ke azeem mujasmay ko khatrah

Beijing: China ke junoob maghrib mein selaab ki wajah se sadkain tabah aur hazaron afraad naqal makani par majaboor hue hain. Hukkam nay khabardaar kiya tha ke China mein selaab se Three Gorges Dam ko tareekh ke sab se baday selaab ka saamna hai. State Broadcaster CCTV ke Video mein dekhaya gaya hai ke China ke Sichuan  soobay mein 71 meter taweel Ancient Giant Buddha Statue ke mujasmay ke paon tak selaab ka pani poanch raha hai. CCTV ke mutabiq 1949 mein China ke qiyam se ab tak selabi pani mujasmay ke paon tak nahi poanch saka tha.

Selaab ki badhti lehron ki wajah se mujasmay ki hifazat ke liye rait ki boriyan rakhi gayi theen. Sichuan  soobay mein Ancient Giant Buddha ka mujasma UNISCO ka aalmi virsa hai aur ye ek mashhoor sayahati maqam bhi hai jahan par teen darya melitay hain. China ke reyasti khabar rasan idaray Xinhua ke mutabiq ke 1 lakh afraad ko Sichuan sheher se nikaal liya gaya hai. Sarkari media ki footage mein dekha ja sakta hai ke darakhton ke tanay aur nichli shaakhen bhi pani mein doobi hui hain. Ek nisbatan heran kun manzar mein ek chhoote imarat selabi pani mein girty aur is ke sath behti huvi numaya hai.

Hifazati khadshaat ke pesh-e-nazar UNISCO ka ek aur aalmi virsay Zhangjiajie National Park ko bhi earzi tor par band kiya jaye ga. Sichuan mein sadak ke munhadim honay se 21 gadiyaan khayi mein giri hain taham cheeni akhbar Global Run ne kaha hai ke jani nuqsaan nahi huwa hai.