Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderChina mein pur asraar marz se awam pareshan, Mahireen bemari ka pata...

China mein pur asraar marz se awam pareshan, Mahireen bemari ka pata laganay mein masroof

Beijing: China mein is waqt ek pur asaraar marz ne awam ko pareshan kar rakha hai. Wizarat sahet ke hakkaam ke mutabiq Pneumonia ki tarz ke is marz ka philao. Bohat tashweesh naak hai aur is waqt jaiza is amar ka liya jaraha hai ke aaya China mein ye marz koi nai aur badi waba ban sakta hai.

China mein 2003 mai bhi intahi teez raftari se phelnay walay ek virus ki wajah se lagnay wali bemari saras ki waba bhi dekhnay mein aayi thi, Jis ki wajah se senkdoun shehri halaak hogaye they. Cheeni akhbar peoples daily ke mutabiq hakkaam ne is amar ki tardeed ki hai ke ye nai waba bhi saras ki tarz ki pehphdoun ki koi nai wabai bemari hai.

Doosri taraf tibbi mahireen ke bakol abhi tak is naye marz ki wajohaat ghair wazeh hain aur ye baat bhi yaqeen se nahi kaha ja sakta ke ye marz saras hi ki koi qisam hai.

Ab tak Wuhan mein sahet aama ke mehakmay ki taraf se sirf ye baat yaqeen se kahi gayi hai ke kayi million ki abadi walay is shehar mein is marz ka talluq kisi nah kisi terhan se ek aisi machhli manndi se bantaa hai, Jahan jany walay afraad hi is marz ka shikaar hue hain.

Sath hi ye bhi kaha gaya hai ke is marz ke shikaar 2 darjan se zayed tamam afraad ko tibbi tor par ICU mein rakha jaraha hai aur sath hi un ke qareebi rishte daaroun ki tibbi haalat par bhi nigah rakhi jarahi hai ke kahin un mein se kisi mein bhi to is marz ke assaar peda nahi horaha hai.

Is marz ke mumkina wabai phelao ka jaiza lainay ke liye Wuhan jany walay aala cheeni tibbi hakkaam ke mutabiq is marz ke shikaar tamam mareezoun ka tafseeli tibbi muaina kiya jaraha hai aur abhi tak ye baat bhi wazeh nahi ke aaya ye bemari insanoun se insanoun ko muntakil hosakti hai ya is virus se mareezoun ka ilaaj karne walay tibbi karkun bhi mutasir hosatke hain. –YTN STAFF