Sunday, May 19, 2024
HomeSliderChina mein pehli martaba Coronavirus ka koi mareez Report nahi huva

China mein pehli martaba Coronavirus ka koi mareez Report nahi huva

Beijing: Coronavirus jis ne is waqt duniya ke taqreeban sabhi mumulk ko pareshan kardiya hai aur ye waba jis mulk China se phaily hai is ne aaj kisi qader raahat ki saans li hai kyunke taqrbian 3 mah qabal jis bemari ne usay apni lapet mein liya tha aaj pehli martaba yahan kisi naye mareez ki towseeq nahi huvi hai.

China ne jumaraat ke roz 3 mah qabal Coronavirus ke bohraan ke aaghaz ke baad pehli martaba kisi naye muqami mareez ki ittila nahi di hai, Aur wo is jung ke khilaaf ek sangmil ko pouncha hai. China se shuru honay wali Virus ki is jung ne duniya bhar mein roz marrah ki zindagi aur muashi sar garmioun ko mutaser karne ke alawa usay bhorani soorat e haal se dochar kardiya hai.

Italy, riyasatahe mutahidda aur dosray mumulik par wabai amraaz ka shikaar hakoomaten pareshan hain aur is bhurani soorat e haal ke douran China ne apni kamyabi ka saboot diya hai ke is Virus ke khilaaf kiya haasil kiya ja sakta hai.

Agar jumaraat ki ye kamyabi cheeni hukoomat ke liye ek numaya badlaon ki numaindagi kar rahi hai kyunkay hukoomat ko baday pemanay par awam ke gham o gussa ka saamna bhi kiya hai jabkay hukkaam ne ibtedayi is waba ku chupane ki koshish aur bad-intezami ki parda poshi ki koshish ki thi, Hatta ke khatray ki ghanti zahir karne walay Doctors ko bhi saza di. Doctors ne kaha hai ke wasti China ke Wuhan shehar mein Virus be qaboo hokar phail gaya, Jis se hukoomat lipatne mein nakaam rahi aur lakhoun afraad par is khofnaak halaat ka saamna karne par majaboor huve aur sakht pabandiya bardasht karne par majaboor huve jis se bacha ja sakta tha. –YTN STAFF