Monday, May 20, 2024
HomeSliderChina mein kuttoun ke gosht par pabandi par ghor

China mein kuttoun ke gosht par pabandi par ghor

Beijing: China ne kuttoun ke gosht par mukammal pabandi ki janib qadam bedhate huve kaha hai ke is janwar ko insani istemaal ke maweshioun ka hissa nahi samgha jana chahiye. China ki wizarat zaraat o dehi umoor ki janib se maweshioun ki par nazarsani ki jarahi hai jin ki tijarat gosht ke liye ki ja sakti hai. China mein janwaroun ki tijarat aur istemaal par Feb mein naye Coronavirus ki waba ke baad pabandi ayed ki thi kyunkay ye mana gaya tha ke ye ek janwaroun ki Market se phela tha.

Ab China ki wizarat zaraat ne ashada diya hai ke wo Kuttoun ke gosht ki farokht par mukammal pabandi ki janib pish raft kar rahi hai aur is silsilay mein musevida jari kiya gaya jo awaami mushawarat ke liye 9 May tak dastyab rahay ga. Is dastaweez mein kaha gaya ke insani tahazeeb mein pish-raft aur janwaroun ke haqooq ke liye awaami tahaffuzaat ko mad e nazar rakhtay huve kutton ko riwayati maweshioun se nikaal kar paaltoo janwaroun mein shaamil kiya ja raha hai.

Dastaweez ke mutabiq duniya bhar mein kuttoun ko Moashi aur Poultry ka hissa nahi tasawwur kiya jata aur China ko bhi is janwar ko maweshioun aur Poultry ke tor par istemaal nahi kiya jana chahiye. Waisay kuttay aur biliyan maazi mein bhi maweshioun ki bazabta fehrist mein shaamil nahi rahay, Magar ab pehli martaba hukoomat ki janib se is qisam ki baat ki gayi hai. Ye faisla is waqt kiya gaya jab China ke shehar Yulin mein ek Festival honay wala hai jis mein is janwar ke gosht ko hi khaya jata hai aur hazaroun kuttoun ko mara jata hai. Ye 10 roza Festival 2009 se ho raha hai aur is par China aur beroun mulk se kaafi tanqeed bhi hoti hai.

Kuttoun ke gosht par mujawaza pabandi is waqt ayed horahee hai jab Wuhan mein janwaroun ki Market par khilnay wali hai Jahan se mana jata hai ke Novel Coronavirus phailna shuru huwa tha. Magar ab wo janwaroun ko maarny aur zindah janwaroun ki farokht par pabandi barqarar rahay gi. Science danoun aur cheeni hukkaam ne kaha ke ye khatarnaak Virus jungli janwaroun mein chimgaadar se aaya aur phir insanoun mein muntaqil hogaya. –YTN STAFF