Saturday, April 27, 2024
HomeSliderChina mein Corona Vaccine ka ek mah qabal hi istemaal shuru hochuka

China mein Corona Vaccine ka ek mah qabal hi istemaal shuru hochuka

Beijing: China mein Corona ki rokk thaam ke liye kayi Vaccine ki tayari par kaam ho raha hai jo abhi tajribati marahil se guzar rahi hain. Taham wahan ahem mulazimeen ko lag bhag ek mah se tajribati coronavirus vaccine ka istemaal karwaya ja raha hai taakay wo Covid-19 se mehfooz reh saken. Ye inkishaaf China ke National Health Commission ( NHC ) ke sarbarah Zheng Zhongwei ne kiya. Unhoun ne CCTV ko bataya ke ek vaccine ke Emergency istemaal ki manzoori 22 July ko di gayi thi.

Unhoun nay ye nahi bataya ke kitnay afraad ko ye vaccine istemaal karwai gayi ya konsi vaccine ko istemaal kiya ja raha hai, Taham kaha hai ke tibbi amlay aur sarhadi hukkaam ko ye vaccine di gayi hai. Unhoun nay mazeed kaha hai ke China mein ab beshtar mareez baher se aarahay hain, To sarhadi ohdidaran bohat ziyada khatray se dochar group mein shaamil hain. Unhoun nay kaha ke vaccine ke Emergency istemaal ki Guidelines ki manzoori 24 June ko di gayi thi.

Unhoun ne kaha hum ne mutadid pehloun ko mad-e-nazar rakha jaisay tibbi manzoori ke forms, Muzir asraat ki nighdasht aur deegar taakay is baat ko yakeeni banaya jasakay ke vaccine ka Emergency istemaal qawaneen ke tehat ho aur is ki nighdasht ki jasakay. Unhoun ne mazeed kaha ke hukkaam ki janib se Emergency istemaal ke programme mein batadreej towsee par ghhor kiya ja raha hai taakay khizaa aur sarma ke douran mumkina lehar ki rokk thaam ki koshish ki jasakay. Ye pehla mauqa hai jab ek vaccine ko Clinical trials se baher China mein istemaal kiya ja raha hai. Taham 27 July ko Chinese center for diseases control and Prevention ke sarbarah Gao Fu ne kaha hai ke unhoun ne khud ko coronavirus ki tajribati vaccine laga li hai taakay vaccine ki manzoori ke baad awam ko usay laganay ke liye qaail kiya ja sakay.

Gao ny ye nahi bataya ke unhoun ny konsi vaccine khud ko lagai hai aur kaha hai ke wo nahi chahtay ke ye samjha jaye ke wo kisi khaas company ke liye koi propaganda kar rahay hain. Wazeh rahay ke rawan mah China ny kaha hai ke Covid-19 ki rokk thaam ke liye Vaccine ki manzoori isi soorat mein di jaye gi jab un ki ifadiyat ki sharah kam az kam 50% aur coronavirus ke khilaaf qowat mudafat 6 mah tak barqarar rakh sakay gi.

China ke Center For Drug Evaluation ( CCDE ) ka tajweez kardah musevida samnay aaya hai jis mein corona vaccine ke hawalay se zawabit diye gaye hain. Masode ke mutabiq Vaccine ke hungami istemaal ke liye kam az kam ifadiyat ki sharah rakhi gayi hai aur un mein aisi vaccine bhi shaamil hogi jis ka clinical Trial mukammal nah huwa ho lekin ifadiyat ko dekhty hue is ke istemaal ki manzoori day di jaye gi. Sinovac ki ifadiyat ke hawalay se Chinese Guidelines mein aalmi idaara sahet aur US food and Drug Administration ki hidayat ko mad-e-nazar rakha gaya hai.

ye Guidelines is waqt samnay ayen jab China mein 4 corona vaccine Clinical trials ke aakhri marhaly mein daakhil hochuki hain. Khayaal rahay ke kuch din qabal Americi akhbar Wall Street Journal ne apni report mein bataya tha ke China coronavirus ke liye China National Pharmaceutical Group (Sinopharm’s ) ki tayyar kardah vaccine aazmaishi bunyaad par Pakistan ko faraham kere ga.

Wall Street Journal ki Report ke mutabiq sarkari company Sinopharm’s vaccine ki azmaish ke liye University of Karachi ke sath kaam kar rahi hai. Report mein kaha gaya hai ke Pakistan ko vaccine itni tadaad mein masool hogi jo abadi ke taqreeban panchwin hissay ( 20 feesad ) ke liye kaafi hogi. Doosri janib Drug Regulatory Authority of Pakistan ( DRAP ) nay guzashta dinon cheeni company CanSino Bilogics ki tayar karda Covid-19 vaccine ki teesray marhaly mein azmaish ki manzoori di thi.