Saturday, May 4, 2024
HomeSliderChina mein 3 mah baad pehli martaba Corona se koi mout nahi

China mein 3 mah baad pehli martaba Corona se koi mout nahi

Beijing: China mein 3 mah baad pehli martaba Coronavirus ke baais koi nai halakat ki khabar manzar aam par nahi aayi hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq China ke National Health Commission neh kaha hai ke mangal ko pehli martaba hai ke koi nai halakat nahi huvi. March ke mahinay se China mein Coronavirus ke mamlaat mein kami dekhnay mein aayi hai, Taham naye mareezoun ke samnay anay ki wajah se China waba ki doosri lehar ke khadshay se dochar hai. Mutasireen mein se 1 hazaar ki tadaad mein aisay afraad hain jo beroun mumalik se aeye they.

China bhar mein 32 aisay naye mamlaat samnay aeye hain jo dosray mumalik se safar kar ke China aeye they. China mein Coronavirus ke naye mamlaat ki tadaad 1033 hai. Jabkay 30 aisay mamlaat hain jin ki muaina Report misbet hai magar un mein Coronavirus ki koi alamaat nahi payi jati then, Un mein se bhi aksariyat beroun mumalik se anay waloun ki hai. Guzashta haftay se China neh aisay mamlaat Report honay shuru huve hain jin mein Virus ki koi alamaat nahi payi gayi hain jis se ye khadshaat peda hona shuru hogaye hain ke aisay kayi loog ird gird ghoom rahay honge jin mein bazahir koi alamaat nahi lekin wo Virus dosroun mein phela satke hain.

 China ke markazi shehroun mein aisay mamlaat samnay anay ke baad muqami ohdedaroun ney 45 rehaishi Compounds ku waba se pak qarar day diya hai. China mein ab tak 81,740 afraad Virus se mutasir jabkay 3,331 halaak ho chuke hain, Jin mein se beshtar ka talluq Wuhan se tha. Doosri janib America mein pichlle 24 ghantoun mein 1,150 amwaat Report huvi hain, Jabkay 30 hazaar naye mamlaat samnay aeye hain.

Americi Johns Hopkins University ke Corona Reserved Center ke mutabiq America mein Corona ke mutasireen ki tadaad 366,000 se tajawaz kar gayi hai, Jabkay 10,783 afraad halaak ho chukay hain. America mein Corona mutasireen ke musadeqa mamlaat ki tadaad sab se ziyada hai. Guzashta chand dinoun se rozana ki bunyaad par Virus ke 1 hazaar naye mamlaat samnay aa rahay hain. America mein amwaat ki tadaad Italy aur Spain ke qareeb poanch rahi hai. Italy mein Corona se 16,523 jabkay Spian mein 13,005 halakten huven. –YTN STAFF