Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadChina ke sath Modi ki ' jhula diplomacy' nakaam: Asaduddin Owaisi

China ke sath Modi ki ‘ jhula diplomacy’ nakaam: Asaduddin Owaisi

Hyderabad:  Aqwam-e-mutahidda ki qarardad jis mein Jaish-e-Mohammad (JeM) ke sarbarah Masood Azhar ko aalami dehshat gard qarar dainay par Cheen ke rok laganay par, saddar kul hind majlis-e-ittehaad-ul-muslimeen Asaduddin Owaisi ney wazer-e-azam Narendra Modi ki’ ‘ jhula diplomacy’  ko nakaam qarar diya .

Rukn-e-parliment Hyderabad ney Cheen ke sadar Jin-ping ke hindustan ke doure ke douran Cheen ka dehshat gardi ko black list karne mein taawun dainay se inkar par kaha ke ye Narendra Modi ki jhoola diplomacy ki nakami ki wazeh misaal hai .
Asad Owaisi ne kaha ke jab cheendehshat gardi ko black list karne mein taawun dainay se inkaar kar raha tha, to modi hukoomat ney cheen se bullet proof jackets kharidne ke liye 630 crore rupiyoun ka order diya .

Asad Owaisi ne Narendra Modi se sawal kiya ke aap ki qaumiyat kiya hai? hamari khuddari kaha chali gayi hai? aur kyun hum yeh order cheen ko de rahay hain? Mulk ki awam Narendra Modi se jawab janna chahti hain. Kyun kay modi din ba din mulk ke tahaffuz aur qoumiyat ke sath khilvad kar rahay hain .

Modi hukoomat ki janib se Mudra Yojna se mutaliq tafseelaat faraham nahi kiye janay per modi hukoomat par tanqeed karte hue Asaduddin Owaisi ney kaha ke yeh modi hukoomat jhoot par yaqeen rakhti hai, aur is ka jhut be-naqaab ho gaya hai.

Yeh sachaai hai ke 15 Crore Mudra scheme se faida uthane walay 90 % logoun ko sirf pachaas hazaar rupiyoun ka loan diya gaya, aur sirf 19.6 laakh logoun ko paanch laakh ka loan diya gaya hai.