Monday, May 13, 2024
HomeIndiaChina ke liye jasoosi karte pakdae gaye Rajeev Sharma ke peechay aur...

China ke liye jasoosi karte pakdae gaye Rajeev Sharma ke peechay aur bhi baday haath ho saktay hain

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi General Secretary Abdul Majid ne apne jari kardah akhbaari aalamia mein kaha hai ke China ke liye jasoosi karte cheeni khatoon ke sath pakdae gaye Rajeev Sharma ke peechay aur bhi baday haath ho saktay hain Abdul Majid ne mazeed kaha hai ke China ne rawan saal April ke dosray nisf hissay se hi Hindustani ilaqa mein dakhal andazi karna shuru kardiya tha aur ab qareeb 38,000 murabba kilo meter Hindustani araazi par China ka qabza hai. Is maslay mein Bharat pehlay hi apne 20 fojion ki qeemti jaanun ki qurbani day chuka hai.

Markazi hukoomat ne sirf bayan baazi aur cheeni masnoaat par pabandi ayed karne ke mazhaka khaiz amal ke ilawa ilaqay ki hifazat ke liye koi sanjeeda iqdaam nahi uthaya hai. China ke zareya Hindustani sarzamen par is qabzay ke darmiyan hi, Vivekanand International Foundation ( VIF ) Foundation jis ko Sanghi Think Tank aur qaumi salamti musheer Ajit Doval ne qaim kiya tha is foundation se wabasta sahafi Rajeev Sharma ek Cheeni khatoon ke sath Hindustani difaa ki khufia dastawizaat ke sath giraftar kiya gaya hai. Is se kisi ko bhi yeh yaqeen hojata hai ke Rajeev Sharma ke peechay aur bhi baday haath ho saktay hain. SDPI qaumi General secretary Abdul Majid ne is baat par zor day kar kaha hai ke China ke liye jasoosi ke muamlay mein ghair janeb daranh tehqiqaat aur tafteesh ki zaroorat hai taakay Rajeev Sharma ke peechay jo baday haath ho saktay hain un ko samnay laya jasakay.

Sanghion ne hamesha ek khaas baradri ko nishana banaya aur in par mulk baghaawat ka ilzaam lagaya aur un ki hub al-watni par sawal uthaya hai. Taham, Ab tak ghair mulki mumulk ke liye jasoosi karte hue jin mujrimon ko pakda gaya hai un ka talluq naam nihaad hub ul watan baradri se hi hai. Mujrimon ke fehrist mein un baradari se talluq rakhnay walon ka ek bhi naam nahi hai jinhein sanghion mulk baghaawat muamlay mein muqadma darj karte arhay hain. Vivekanand foundation se qareebi talluq rakhnay walay ek fard ka China ko difaa se mutaliq khufia dastawizaat fraham karna ek tashweesh-naak baat hai, Mulk ki salamti ko yakeeni bananay ke liye un ke khilaaf sakht se sakht karwai ki jani chahiye.

Sanghion ke liye hub ul-watni un ki mulk mukhalif sar garmion ka chhupanay ke liye istemaal kiye jane wala sirf ek aur jumla hai. Is jasoosi muamlay mein Wazeer-e-Azam ke daftar ( PMO ) ke kirdaar ki bhi tehqiqaat ki jani chahiye, Kyunkay jab Ladakh mein China ke sath kasheedgi ka mahol urooj par tha is waqt Hindustan ne Beijing mein qaim kaseer jehti taraqiyati Bank jisay Bank of Asia Infrastructure Bank ( AIB ) kaha jata hai is bank se 9, 202 crore ka qarza lia tha. SDPI qaumi General secretary Abdul Majid ne is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha hai ke opposition partiyon ka is muamlay mein khamoshi aur thanday rad-e-amal se Modi aur un ki team ko mulk ko aur barbaad karne mein aur badhhawa miley ga. Jab tak opposition partiyan apni khamoshi aur ghair fa-aal rawayya tark nahi karen gi Hindustan ke logon ko RSS aur Sangh pariwaar ke hathon ek khobsorat mulk ko barbaad hotay dekhna pad sakta hai. Abdul Majid ne ghair BJP partiyon se appeal ki hai ke woh jaag jayen aur fastai taqaton ko shikast dainay aur mulk ko bachanay ke liye saf awwal mein ajayeen.