Mahabalipuram: Wazeer-e-Azam Narendra Modi aur China ke sadar XI Jinping ney aaj ghair rasmi baat cheet ki aur dono mulkoun ke darmiyan bahami taluqaat ko mustehkam karne ke liye isi tarhan ki mazeed ghair rasmi muzakraat se ittafaq Kiya.
Hindustan ney cheeni shehrion ke multi entry par 5 saal ke liye tourist E-visa dene ka elan kiya. yeh elaan beijing mein waqay hindustani mission ney kiya. unhon ney kaha dono mulkon ke shehrion ke darmiyan taluqaat ko mustehkam karne ke maqsad se cheeni shehrion ke liye E-visa mein riayat di jayegi jisse ziyada se ziyada cheeni sayah Hindustan ka doura kar saken.
Is saal october se cheeni shehri multi entry par Tourist E-visa ke liye darkhwast daal sakte hain. jiski muddat 5 saal ki hogi. 5 saal ke liye Tourist E-visa ke liye 80 dollar fees ada karna hoga.
Is se pehlay Wazeer-e-Azam Narendra Modi wo china ke saddar XI Jinping ke darmiyan yahan wafad ki satah par mulaqaat hui jis mein dono leadron ney dono mulkon ke darmiyan bahami taawun mein izafah karne par zor diya. dono mulkon ke darmiyan wafad satah ki mulaqaat ka aaghaz karte hue Modi ney kaha Chennai Hindustan aur China ke darmiyan rishton ka gawah bana hai aur is ijlaas se dono mulkon ke darmiyan ek naya baab shuru hua hai.
Hindustan aur China ney dono mumalik ke darmiyan strategic muzakraat ko badhaane ka azm karne ke sath 2 Tarfah tijarti khasaray ko door karne ke liye ek Aala sathi idaara jati nizaam bananay aur hifazat aur security forces ke darmiyan bahami tabadlay aur rabita badhaane par ittafaq Kiya.
Wazeer-e-Azam Narendra Modi aur China ke saddar XI Jinping ki doosri ghair rasmi sarbarah muzakraat ke ekhtataam ke baad kharja secretary vijay gokhale ney yahan press conference mein sarbarah mazakraat ke nataij ishtiraaq kiye aur kaha ke Wazeer-e-Azam ney kaha ke vahan spratt ke baad Chennai rabta se dono mumalik ke darmiyan ek naye dour ka aaghaz hojayega.
Gokhale ney kaha ke dosray din hafta ko dono rehnumao ke darmiyan tanhai mein taqreeban daidh ghantay tak baat cheet hui aur phir wafad satah ki mulaqaat hui. dono rehnumao ke darmiyan taqreeban saadhay 6 ghantay tak baat cheet aur dopehar ke ziyafat ke baad wapsi ke pehlay jin ping ney baat cheet ko bohat mufeed qarar diya aur kaha ke baat cheet ke nataij par unki hukoomat jald hi munasib iqdamaat karegi. –YTN STAFF