Monday, May 20, 2024
HomeLatest NewsChina ke khilaaf America ek qadam peechay

China ke khilaaf America ek qadam peechay

Washington: America ke sadar Donald Trump nay taqreeban 150 arab dollars ki china masno-aat par 1st September se 10 feesad mehsoolat aed karne ka faisla mokhar kar diya hai. Trump ney kaha hai ke is faislay ka maqsad Christmas ke mauqa par sarfeen ko mehengai ke asraat se bachana hai. saddar Trump ki janib se jin cheeni masnoaat par tax istashna diya gaya hai un mein laptop, mobile phones aur khilone shaamil hain.

Hukkaam ney wazahat ki hai ke America ki janib se China ki deegar hazaron masnoaat par 10 feesad tax aed karne ka faisla barqarar hai. un masnoaat mein kapdey, khaney peenay ki ashya aur deegar electronic masnoaat shaamil hain jin par tax 1st September se nafiz ul amal hoga. mahireen ke mutabiq Amrici hukoomat ke is faislay aur tijarti muzakraat ke ek aur dor ke imkanaat ke baad stock markets mein taizi dekhi gayi hai jab ke mumkina mehengai se pareshan sarfeen ney bhi raahat ki saans li hai.

Sadar Trump ke is elaan ke baad mazkoorah cheeni masnoaat par aed das feesad mehsoolat ka itlaq ab 15 decemeber se hoga. New Jersey mein media numaindon se izhaar-e-khayaal karte hue sadar Trump ney kaha hai ke sarfeen ki sahoolat ko mad-e-nazar rakhtay hue yeh faisla kiya gaya hai taakay awam ki Christmas shopping mutasir nah-ho. khayaal rahay ke chand roz qabal America ney China ko currency mein radd-o-baddal karne wala mulk qarar diya tha. jis ke baad dono aalmi muashi taqaton ke darmiyan kasheedgi mein izafah ho gaya tha. is kasheedgi ke nateejay mein Amrici sadar Trump ney 300 arab dollars ki cheeni masnoaat par 10 feesad mehsoolat aed kar diye they. jis ke rad-e-amal mein China ki taraf se America se zarayi masnoaat ki draamdat par pabandi lagadi gayi thi.

America ke mutabiq woh China ke sath tijarti mahaaz par kasheedgi mein izafay ki bajaye baat cheet se mamlaat hal karne ka khwahish mand hai. White House ney cheeni wafad ko muzakraat ke liye September mein dora America ki dawat di hai. is faislay ke baad Amrici sadar ney kaha hai ke dono mumalik ke tijarti wafood September mein muzakraat kar satke hain. China aur America ki tijarti jung ke baais aalmi tijarti baazaaroun mein bhi nasheeb wo faraz dekha jaraha hai. mubasireen ke mutabiq dono mumalik muzakraat ke bawajood kisi qabil amal samjhotay par nahi pohanch sakay. –YTN STAFF