Monday, May 20, 2024
HomeLatest NewsChina ke ek soobay ki abadi 8 crore lekin ghareeb afraad ki...

China ke ek soobay ki abadi 8 crore lekin ghareeb afraad ki tadaad sirf 17

Beijing: Abadi ke lehaaz se duniya ke sab se badey mulk China ne guzashta chand saal se gareebi mitao programme shuru kar rakha hai aur is hawalay se hukoomat ka daawa hai ke mulk se gurbat taqreeban khatam ki ja chuki hai.

China ki hukoomat ne mulk bhar mein reh jane walay baqi ghareeb afraad ki ta haal hatmi fehrist jari nahi ki hai taham hukoomat ka daawa hai ke ab kuch laakh afraad hi gurbat ki zindagi guzaar rahay hain. China ke kayi soobay aisay hain jo ye elaan kar chuke hain ke unke haan ab koi bhi shakhs ghurbat ki zindagi nahi guzarta taham China ke mashriqi soobay jiyuangso ki janib se haal hi ghareebon ke hawalay se kiye jane walay elaan ne sab ko haeran kardiya.

Cheeni akhbar South china morning post ki ek report ke mutabiq Jiangsu soobay ki hukoomat ne daawa kiya hai ke un ke soobay ki 8 crore abadi mein sirf 17 afraad hi aisay hain jo gurbat ki zindagi guzaar rahay hain. sobai hukoomat ke mutabiq gurbat ki zindagi guzaarne walay mazkoorah 17 afraad ka talluq 6 mukhtalif khandano se hai jab ke soobay ke baqi tamam afraad ab ghareeb nahi rahay.

Sobai ohdedaron ne daawa kya ke saal 2019 mein gareebi mitao scheme ke tehat taqreeban 21 laakh afraad satah gurbat se oopar aaye aur ab wo pehlay ke muqablay dugni se bhi ziyada aamdani kama rahay hain.

China mein salana 331 dollar seen kamanay walay afraad ko ghurbat ki lakeer se neechay wali zindagi guzaarne walay afraad mein shumaar kiya jata hai aur Jiangsu soobay ki hukoomat ke mutabiq ab unki 8 crore abadi mein mehez 17 afraad is fehrist mein shaamil hotay hain. hukoomat ka daawa hai ke saal 2019 mein gurbat ki lakeer se niklne walay taqreeban 21 laakh afraad ab salana 864 Amrici dollar kama rahay hain.

China ki markazi hukoomat ke adaad wo shumaar ke mutabiq 2018 mein China ki majmoi abadi mein se ek crore 60 laakh afraad satah gurbat se oopar aaye aur ab woh khushaal zindagi guzaar rahay hain. isi terhan sirf saal 2019 mein bhi poooray China ke ek crore afraad bhi gurbat se azad hue aur hukoomat ka daawa hai ke rawan saal ke aakhir taq mulk mein kahin bhi koi bhi shakhs gurbat ki zindagi nahi guzaar raha hoga.

Cheeni hukoomat mulk se gurbat khatam karne ke liye arboun dollar ki sarmaya kar rahi hai aur sirf 2019 mein hi hukoomat ne 18 arab dollar se zayed ki raqam mazkoorah muhim ke liye istemaal ki taakay logon ki zindagi behtar banai ja sakay. –YTN STAFF